Skip to main content

Barson Ke Baad Dekha Ek Shakhs Dilruba Sa

Barson Ke Baad Dekha Ek Shakhs Dilruba Sa 
Ab Zehen Men Nahi Hai Par Naam Tha Bhala Sa


Alfaaz The Ke Jugnu Aawaaz Ke Safar Me 
Ban Jaaye Jangalon Men Jis Tarah Raasta Sa 


Khwabon Men Khwaab Uske Yadon Men Yaad Uski 
Neendo Men Ghul Gaya Ho Jaise Ke Ratjaga Sa  


Pehle Bhi Log Aaye Kitne Hi Zindagi Me 
Wo Har Tarah Se Lekin Auron Se Tha Juda Sa  


Tewar The Berukhi K Andaaz Dosti Ka 
Wo Ajnabi Tha Lekin Lagta Tha Aashna Sa  


Kuchh Ye Ke Muddaton Se Hum Bhi Nahi The Roye 
Kuchh Zeher Me Bujha Tha Ahabaab Ka Dilasa  


Phir Yun Hua K Sawan Akhon Me Aa Base The 
Phir Yun Hua K Jese Dil Bhi Tha Aablaa Sa  


Ab Sach Kahen To Yaron Hum Ko Khabar Nahi Thi 
Ban Jayega Qayamat Ek Waqiya Zara Sa.

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother