Skip to main content

Chalay jo ho to bata k jao


Chalay jo ho to bata k jao

Ke kitni shaamein udaas aankhon mein kaatni hein

Ke kitni subhain akelay pan mein guzaarni hein

Bata k jao Ke kitne sooraj azaab rastoon ko dekhna hai

Ke kitne mehtaab sard raatoon ki wusaton se nikaalne hein

Bata k jao ke chaand raatoon mein waqt kaise guzaarna hai

Khamosh lamhoon mein tujh ko kitna pukaarna hai

Bata k jao ke kitne lamhay shumaar karne hein hijr raton ke

Ke kitne mousam aik aik kar k judaiyon mein guzaarne hein

Bata k jao ke panchiyon ne akele pan ka sabab jo poocha

To kaya kahoon ga???

Bata k jao ..main kis se tera gila karoon ga

Bichhar ke tujhse Habeeb..kis se mila karoon ga

Bata k jao ke aankh barsi to koUn moti chuna karay ga

Udaas lamhon mein dil ki dhadkan suna karay ga

Bata k jao k mousamon ko payam dene hein ya nahin

Fallak ko, taron ko, jugnu'on ko slaam dene hein ya nahin

Bata k jao k kis peh hai aitebaar karna

To kis ki baaton pe be-niazi kay silsale ikhtiyaar karna

Bata k jao k ab ravviyoon ki chaal kiya ho

Jawaab kiya ho, sawaal kiya ho

Arooj kiya ho, zawaal kiya ho

Nighah, rukhsaar, zulff, chehra ..nidhaal kiya ho

Bata k jao ke meri halat pe chandni khikhila pari to

main kya karoon ga

Bata k jao k meri soorat pe teergi muskara parhi to

Main kiya karoon ga

Bata k jao k tum ko kitna pukaarna hai

Bichhar k tujhse yeh waqt kaise guzaarna hai

Ujaarna hai? nikhaarna hai?

Chalay jo ho to bata kay jao

kay loutna bhi hai ya... ???????

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother