Skip to main content

Nazar mein zulmat, badan mein thandak, jamal kitna ajeeb sa tha

Nazar mein zulmat, badan mein thandak, jamal kitna ajeeb sa tha,
mein uski chahat mein ghar se nikla to haal kitna ajeeb sa tha,

na meine usko khatoot likhay, na usnay meri panaah chahi,
dono ko apni be'khudi pay malaal kitna ajeeb sa tha,

wo apni raton men chaand dekhay, mein apni raton men usko sochun,
badaltay lamhon mein soch ka ye wisaal kitna ajeeb sa tha,

safar akelay hi kaat logay? mene poocha to ro diya wo,
sawaal kitna ajeeb sa tha, jawaab kitna ajeeb sa tha.

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother