Skip to main content

zahan-e-aadamiiyat par maslahat ke pahare hain

zahan-e-aadamiiyat par maslahat ke pahare hain
 log jitne muKhlis hain zaKhm utne gahare hain

 phool hain yahaan kaanTe, jism hain yahaan patthar
 kis jahaan ke baasi the, kis nagar men Thahare hain

 zindagii ka darvaaza khaT_khaTa ke dekhaa hai
 is makaan ke maalik, mar chuke ya bahare hain

 mujrim-e-muhabbat hai sher kii adaalat men
 soch ke salaasal hain, dard ke kaTahare hain

 kis ke tan kii rangiinii mauj_zan hai seene men
 aaNkh bhii gulaabii hai, ashk bhii sunahare hain

 bhiigtii hawaaon ke dosh par chale aao
 ghaas ke samaNdar par sabz-sabz lahareN hain

 kaise maiN adab kii had phaaNd kar piyoon ''Shahid''
 ras bharii un aaNkhoN par jab hayaa ke pahare hain

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother