Skip to main content

Kabhee aas hai kabhee yaas hai

Kabhee aas hai kabhee yaas hai,

Kabhee roshni, kabhee teirgee,

Kabhee khaar ban ke chuphe mujhe,

Kabhee phool lagtee hai zindigi!


Kabhee saaya hai kabhee dhup hai,

Kabhee ashk hai aur kabhee hansi,

Kabhee khushyaan dil se chalak uthein,

Kabhee dukh ki chaadar hai zindigi!


Kabhee rang dhanak ke hain chaar soo,

Aur pheeki hai berang kabhee,

Kabhee maan ki goud ki tarah naram,

Aur pahaar si sakht kabhee zindigi!


Kabhee hanste hanste rulaati hai,

Kabhee rote rote hansaati hai,

Kabhee meherbaan kabhee sangdil,

Kya ajab hi shae hai ye zindigi!


Kabhee khushyaan rimjhim barasti hain,

Kabhee ghum ki aandhyaan chalti hain,

Kabhee nafraton ki hawa chale,

kabhee pyar ka naghma hai zindigi!


Kabhee aah hai kabhee waah hai,

Kabhee nauhaa hai aur kabhee hansi,

Kabhee lagti hai bari pyaari shae,

Kabhee baar lagti hai zindigi!!

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother