Skip to main content

Ab jis k ji main aaye, wahi paye Roshni

1Ab jis k ji main aaye, wahi paye Roshni
Aankhein bichadi humne,Jahan tak nazar gaii



2.Kisi bhi ghar main sahi Roshni to hai hum se
Namood subha se pahle to mat Bojhhao hamein

3.Dil-o-Nigah main aik Roshni si rahti hai
Gaye dinon ka Tasawwer bhi kam haseen to nahin

4.Jane kab tak teri Tasweer nigahoon main rahi
Hogaii Raat teer aks ko takte takte



 5.Jis taraf dekho tera hi Aks aata hai nazar
Rakh dia mujh ko kis ne Aayenoon k darmian


6.Ghalat ho aap ka Wada koii khuda nah kare
Magar huzoor ko Aadat hai bhool jane ki


7.Khuch tum se shikayat hai to kuch Khud se hai mujh ko
Har hal main khush Rahne ki Aadat bhi nahiin hai


8.Agar parh jaye Aadat aap apne sath rahne ki
Ye sath aisa hai jo Insan ko tanha nahiin karta

9.Aashafaqtagi se is ki usy be Wafa na jan
Aadat ki bat aur hai wo Dil ka bura nahin

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother