Skip to main content

Be tahasha use soncha jaye

Be tahasha use soncha jaye
Zakham ko aur kureda jaye

Jane wale ko chala jana hai
Phir bhi rasman hi pukara jaye

Hum ne mana k kabhi pi hi nahi
Phir bhi khawahish k sanbhala jaye

Aaj tanha nahi jaga jata
Raat ko sath jagaya jaye

Haraf likhna hi kafi hai
Aao ab haraf mitaya jaye

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother