Skip to main content

Dakh ye aadat teri Badnam karde gi usa

1.Dakh ye aadat teri Badnam karde gi usa
Nam us ka har dar-o-diwar per Likha na kar


 2.Pahle us main ik Ada thi Naz tha Andaz tha
Roothna ab to teri Aadat main Shamil ho gaya


3.Wadi isq main bhole se bhi Na rakhna Qadam
Warna aik Karab musalsal se Guzarna hoga


4.Dondhne wale ko mil jati hai khud moj-e-bahar
Har gulistan mein Khezan ho, ye Zaroori to nahin


5.Ishq hamari Barbadi ko Dil se Duayen deta hai
Hum se pahle itna Roshan, nam na tha Ruswaii ka

6.Ye ishq nahiin Aasan bas itna Samajh lijye
Ik Aag ka Darya hai aur Doob ke jana hai

7.Tarteeb zindagi, koii Mushkil na thi magar
Qismat ne hum ko Haat hi toote huye diye

 8.Hum jheel jheel urte rahe hans ki tarah
Qismat main jo na tha wo Kanwal dhunte rahe


9.Kia tum se shikayat, mujhe Qismat se gila hai
Phirta hai Muqaddar to, palatti hai nazar bhi

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother