Skip to main content

Dhundta phirta hon logon main Shabahat us ki

1.Dhundta phirta hon logon main Shabahat us ki
K wo khawabon main bhi lagti hai khialon jaisi



 2.Tujh se to dil k pas hi Mulaqat ho gaii
Main khud ko dhundne k liye dar ba dar gia


3.Dubte chand pe roti hain hazaron Aankhen
Main to roya bhi nahi, tum ko Hansi aaii kiun



4.Har waqt ka hansna, tujhe Berbad na ker de
Tanhaii ke lamhon main, kabhi Ro bhi liya ker



5.Yad aane laga hai mujhe, Anjam baharan
Ay abre karam teri ejazat ho to main Ro lon

6.Zabt lazim hai magar Dukh hai qiamat ka Faraz
Zalim ab k bhi na roye ga to mar jaye ga



7.Nigahain to Akser milti hain Husn walon se
Rona magar is ka hai k Dil se Dil nahin milta



 8.Photain jo apne zahan se Kirnain to bat hai
Mange ki Roshni ko Sahar mat kaha karo


9.Dil main tumhari Yad k jalte to hain diye
Mana k un ki Roshni tum per eyan nahin

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother