20 July 2012

Jin jin ko tha ye ishq ka aazar mar gaye

Jin jin ko tha ye ishq ka aazar mar gaye
Aksar hamare sath ke bimar mar gaye

Youn kanon kan gul ne na jana chaman mein aah
Sur ko patak ke hum pas dewar mar gaye

Sad kaarwan wafa hai koii pochta nahi
Goya matae dil ke khareedar mar gaye

Majnu na dast mein hai na farhad koh mein
Tha jin se lutf zindagi wo yar mar gaye

Ghabra na meer ishq mein is sahal zist per
Jab bas chala na kuch to mere yar mar gaye

0 comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...