Skip to main content

jo mujhe bhula dain ge main unhain bhula donga

jo mujhe bhula dain ge main unhain bhula donga
Sab gharoor un ka main khak main mila doonga

Dekhta hoon sab shaklein, sun raha hoon sab baatain
Sab hisab un ka main aik din choka donga

Roshni dakhadonga in andhair nagroon main
Ik hawa ziaun ki char so chla donga

Be missal qaryun k be kinar baghon k
Apne khawab logon k khawab main dikhadon ga

Main munir jaoonga aik din use milne
Us ke darpe ja ke main aik din sada donga

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother