Skip to main content

Kitni bar pukara main

Kitni bar pukara main
Ik bujhta Angara main

Tun murat ik mitti ki
Aur pani ka Dhara main

Aag lagi to Raakh hoye
Bin basti Banjara main

Kaisi anokhi jung huii
Jita main aur Hara main

Us ki batain Pathar si
Aur shisha be Chara main

Pahle bhigi palkain meri
Bhig gia phir sara main

Aag bhara ik Darya tu
Thanda thar Kinara main

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother