Skip to main content

Mujhe Apny Zabt Pey Naz Tah, Sar-E-Bazam Raat Ye Kia Hoa

Mujhe Apny Zabt Pey Naz Tah, Sar-E-Bazam Raat Ye Kia Hoa
Mery Ankh Keyse Chalakh Pary, Mujhe Ranj Hai Ye Bora Hoa



 Mery Zindagi Ke Charagh Ka, Ye Mizaj Koi Nahi Naeya
Kabhi Roshni Kabhi Tergi, Na Jala Hoa Na Bujha Hoa



 Mujhe Aap Kuen Na Samjh Saky, Ye Apny Dil Sey Hi Pocheye
Mery Dastan-E-Heyat Ka, Hai Warq Warq Khula Hoa



 Abhi Abhi Mery Pass Sey, Jo Nazar Bacha Key Guzar Gaye
Ye Mery Shahar Key Loog Han, Mery Ghar Sey Ghar Mila Hoa



 Mujhe Jo Bhi Dushman-E-Jan Mila,Wohi Pukhta Kar-E-Jafa Mila
Na Kisi Ke Choot Ghalat Pary, Na Kisi Ka War Kahta Hoa



 Mujhe Ham Safar Bhi Mila Koi, Tu Mery Tarha Hi Luta Hoa
Kabhi Manziloon Se Hata Hoa, Kabhi qafiloon Sey Luta Hoa



 Mujhe Ik Gali Men Para Hoa, Kisi Bad Naseeb Ka Khath Mila
Kaheen Khoon-E-Dil Sey Likha Hoa, Kaheen Ansoon Sey Mita Hoa



 Hameen To Ye Bhi Haq Nahi, Ke Shareq Bazam Kohlos Hon
Na Cehry Pey Apny Naqab Hai, Na Kuch Asteen Men Chupha Hoa

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother