Skip to main content

Rukta bhi nahi theek se Chalta bhi nahi hai

Rukta bhi nahi theek se Chalta bhi nahi hai
Ye dil k tere bad Samhalta bhi nahi hai

Ye shahar kisi Aayena kirdar badan per
Ilzam lagate hoye Darta bhi nahi hai

Ik umar se ham is ki Tamanna main hain be khawab
Wo chaand jo Aangan mein Uterta bhi nahi hain

Phir dil mein teri yad ke Munzar hain farozan
Aise mein koii Dekhne wala bhi nahin hai

Is umer ke Sahra mein teri yad ka badal
Talta bhi nahin aur Barasta bhi nahi hai

Hamrah bhi khahish se nahin rahta hamare
Aur bame Rafaqat se utarta bhi nahi hai

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother