Skip to main content

kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai

kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai

ye zindagi teri zulfo’n ki narm chao’ main guzarne paati, to

to shaadaab ho bhi sakti thi

ye ranj o gham ki siahi jo dil pe chai hai …..

teri nazar ki shuaon main kho bhi sakti thi

magar ye ho na saka …

magar ye ho na saka … aur ab ye aalam hai …

k tu nahi … tera gham, teri justuju bhi nahi

guzar rahi hai zindagi is tarah k jese ..

isay kisi k saharay ki aarzu hi nahi!

na koi raah … na manzil ! … na roshni ka suraagh …

bhatak rahi hai andhero main zindagi meri

Inhi andhero main reh jaun ga kabhi kho kar …

main jaata hoon meri ham nafs .. magar yunhi …

kbhi kbhi mere dil main khayal aata hai …

kabhi kabhi …


Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother