Skip to main content

Subh e Azadi by Faiz Ahmed Faiz -- Recited by Zia Muhaiyudeen

yeh daag daag ujala,yeh shab guzida sehar,
wo intezar tha jis ka,yeh wo sehar to nai,
yeh wo sehar to nai,jis ki arzoo lekar,
chale te yaar ke mil jaye gi kai na kai,
falak ke dasht mai taaro ka akri manzil,
kai to hoga shab-e-sust moj ka sahil,
kai to jake ruke ga safina-e-gham dil,
jawan lahoo ki pur’israr sharahon se,
chale jo yar to daman pe kitne haat pare,
dayar-e-husan ki be-sabar khawab gao se,
pukarti rai baahen, badan bulate rahe,
baut aziz ti lakin rukh-e-sehar ki lagan,
baut qarin ta hasinan e noor ka daman,
subak subak ti tamanna,dabbi dabbi ti thakan,
suna hai ho bi chuka hai firaq-e-zulmat o noor,
suna hai ho bi shuka hai wisal-e-manzil o gaam,
badal chuka hai baut ail-e-dard ka dastoor,
nishat-e-wasal halal ho azab-e-hijar haram,
jigar ki aag,nazar ki umang,dil ki jalan,
kisi pe chara-e-hijran ka kuch asar hi nai,
kaha se ayi nigar-e-saba,kidar ko gai,
abi charg-e-sar e rah ko kuch kabar hi nai,
abi girani-e-shab mai kaami ayi nai,
nijad deeda o dil gari nai ayi,
chale chalo ke wo manzil abi nai ayi,

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother