Skip to main content

yaar ko humne jabaja dekha

yaar ko humne jabaja dekha,
 kahin zahir kahin chupa dekha,
 kahin mumkin hua kahin wajib,
 kahin faani kahin baqa dekha,
 kahin woh badshah-e-takht nashein,
 kahin kaasa liye gada dekha,
 kahin wo der libaas-e-mashokan,
 barsare naaz aur aada dekha,
 kahin zahir jahin chupa dekha,
 kahin aashiq niyaz ki soorat,
 seena girya-o-dil jala dekha,
 yaar ko humne jabaja dekha,
 kahin zahir kahin chupa dekha,
 yaar ko humne jabaja dekha...

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother