Skip to main content

Andaz ho bahoo teri awaz-e-paa ka tha

Andaz ho bahoo teri awaz-e-paa ka tha.
Dekha nikal k ghar se to jhonka hawa ka tha.
Utha ajab tazad se insan ka khameer,
Aadi fana ka tha to pujari baqaa ka tha.
Is rishta-e-lateef k israr kya khulen,
Tu samny tha aur tasawar khuda ka tha.
Toota tou kitny aaina khano peh zad pari,
Atka hua galy men jo pathar sadaa ka tha.
Chhup Chhup k roun aur sar-e-anjuman hansoon,
Mujh ko ye mashwra mere dard aashna ka tha.
Dil raakh ho chuka to chamak aur barh gai,
Ye teri yad thi k amal kemiya ka tha.
Is husn-e-ittifaq pe lut k bhi shaad hoon.
Teri razaa jo thi, wo taqaza wafa ka tha.
Heran hoon k daar se kaisy bacha Nadeem,
Wo shakhs to ghareeb-o-ghayoor intihaa ka tha.

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother