Skip to main content

Bekaar hai har aik hunar shart laga le

Bekaar hai har aik hunar shart laga le,
Kuch us pe nahi ho ga asar shart laga le,
Me shart lagana to nahi chahta lekin,
Tu zid hi kiye jaye hai gar shart laga le,
Yeh moja-e-khushbu, yeh hawaon ka taranum,
Hai us ki yehi raah guzar shart laga le,
Ab waqt bohat taiz bohat taiz chale ga,
Lamhaat ko lag jayen pe par shart laga le,
Jitna bhi tu chahe nazar andaaz kiye ja,
Palte gi meri simt nazar shart laga le,
Ay jaan_e_wasi kesi ana kesa kesa khasara,
Me jaan k haaron tu agar shart laga le

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother