Skip to main content

Tumhari qabr par main Faateha Parhne nhi aya..!

Tumhari Qabr per...
Tumhari qabr par main
Faateha Parhne nhi aya..!

Mujhey Maloom tha, Tum Mer nhi saktey
Tumari Maut ki Sachi Khabar
Jis ne Uraayi thi, Wo Jhoota tha..!
Wo Tum Kab they
Koi Sookha hoa Patta, Hawa me Gir ke Toota tha
Meri Aankhen...
Tumarey Manzaro'n me Qaid hen ab tak
Main Jo bhe Dekhta hon...Sochta hon
Wo...Wohi hai
Jo Tumari Nek-Naami aur Bad-Naami ki Duniya thi
Kaheen Kuch bhe Nhi Badla..!

Tumarey Hath, Meri Unglion'n me Saans letey hen..
Main Likhney ke ley jab bhe Qalam-Kaghaz Othata hon
Tumen Behta hoa main
Apni hee Kursi me Pata hon...!
Badan me mere, Jitna bhe Lahoo hai
Wo Tumari..
Laghzisho'n, Na-kaamiyon ke sath Behta hai
Meri Awaz me Chup ker, Tumara Zehan Rehta hai

Meri Beemaariyon me Tum
Meri La-chaariyon me Tum
Tumari Qabar per jis ne Tumara Naam Likha hai
Wo Jhoota hai...!
Tumari Qaber mein, Main Dafan hon
Tum Zinda ho...!
Miley Fursat kabhi to.... Faateha Parhne chale Ana...!!!!

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother