Skip to main content

aaiiye haath uThaain ham bhii

aaiiye haath uThaain ham bhii
ham jinhe.n rasm-e-dua yaad nahii
ham jinhe.n soz-e-mohabbat ke siwaa
koi butt, koi Khudaa yaad nahii


aaiiye arz guzare.n k nigaar-e-hastii
zahar-e-imaroz main sheerenii-e-fardaa.N bhar de
wo jinhe.n tabe garaa.N baarii-e-ayyaam nahii
un kii palakon pe shab-o-roz ko halkaa kar de


jin kii aaNkhon ko ruKh-e-subha kaa yaaraa bhii nahii
un kii raaton main koii shamaa munawwar kar de
jin ke qadamon ko kisii rah kaa sahaaraa bhii nahiin
un kii nazaron pe koii raah ujaagar kar de


jin kaa diin pairavii-e-kazbo-riyaa hai un ko
himmat-e-kufr mile, jurat-e-tahaqiiq mile
jin ke sar muntazir-e-teG-e-jafaa hain un ko
dast-e-qatil ko jhaTak dene kii taufiiq mile


ishq kaa sarr-e-nihaa.N jaan-tapaa.N hai jis se
aaj iqaraar karen aur tapish miT jaaye
harf-e-haq dil main KhaTakataa hai jo kaNTe kii tarah
aaj izahaar karen or Khalish miT jaaye

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother