Skip to main content

safar per saath chali thi jo rehbaron ki tarah

safar per saath chali thi jo rehbaron ki tarah
juda hui wo bhi aakhir musafiron ki tarah

main sochta hoon wo kese bicharh gayi mujhse
jo dhoop main milti thi mujhe badalon ki tarah

ajeeb larki thi hawaaon se dushmani lekar
wo rait par likhti thi mera naam pagalon ki tarah

wo chahaton ki mukammal kitaab thi yaaron
mujhe fasana sunaati thi shayaron ki tarah

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother