Skip to main content

Mien janta tha

Mien janta tha,


Wafaa Ka Ajar Nahi Hota


Muhabaton Main Sabar Ka Samar Nahi Hota

Mien janta tha,


Muhabat Dukhon Ka Sehraa Hay


Jehan Serab Si Khushyan Hain


Aur Azaab Say Ghum


Jehan Hay Pyaas Judaai Ki Betahasha Magar


Milan Ki Barishain Hoti Hain Jis Dyar Main Kam


Mien janta tha,


Muhabat Khiraj Mangti Hay


Woh Jis Ko Dil Ka Lahoo Day Kay Jagmagaya ho


Andheri Rah Kay Lya Woh Chiragh Mangti Hay


Mien janta tha,


Muhabat Woh Rehguzar Hay Jehan


Bichay Hain Kaanch Judai Kay Beshumar magar


Brehna-pa hi Inhain Paar Kerna Perta Hay


Ghamoon Ki Dhoop Main Jab Saibaan Koi Na Ho


Kisi Ki Yaad Ki Chader Ko Taan Ker Khud Per


Tamam Aahain Daba Ker Guzerna Perta Hay


Mien janta tha,


Wafa Ka Ajar Nahi Hota


Muhabaton Main Saber Ka Samer Nahi Hota


Hijer Ki Rah Main Hoti Hay Betahashah ghutan


Wehan Kebhi Bhi hawa Ka Guzer Nahi Hota


Mien janta tha,


Magar Phir Bhi Roag Le Betha


Kisi Kay Pyar Main Janay Kun Joag Le Betha


Mien janta tha, Magr Phir Bhi..

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother