Skip to main content

Posts

Showing posts from August, 2012

Kahan Dhoondte Ho Tum Ishq Ko Ay Be Khabar

Kahan Dhoondte Ho Tum Ishq Ko Ay Be Khabar  Ye Khud Hi Dhoond Leta Hai Jise Barbad KarNa Ho...!!!

Ghar Ke Mitnay Ka Gham Tou Hota Hai

Ghar Ke Mitnay Ka Gham Tou Hota Hai Apne Malbay Pe Kon Sota Hai ???????? Khushbuein Gair Tan Se Aati Hai Baazuoun Mein Mujhe Samota Hai Mere Dil ! Aansuoun Se Haath Utha Kaisi Baarish Se Zakham Dhota Hai Shaam Hotay Hee Meri Palkon Per Kon Ye Haar Sa Pirota Hai Raat Ke Bekaraan Andheray Mein Koi Jugnu Ki Neend Sota Hai

ye qafas he muj ko azeez hy yahan je to lunga qarar sy

ye qafas he muj ko azeez hy yahan je to lunga qarar sy, Mujay tum chaman main na le chalo main dara hua hun bahar se

Mairay khawaboon k gulshan mai hawaien raqs karti hain

Mairay khawaboon k gulshan mai hawaien raqs karti hain Mairay hontoon ki larzish mai wafaien raqs karti hain Mujhay wo lakh tar’pai magr us shaksh ki khatir Mairay dil kay andheron mai dua’ien raqs karti hain Ussay kehna kay loat aaye sulgati shaam say pehlay Kisi ki khushk ankhoon mai sad’ain raqs karti hain Utar’ta hoon jab kabhi kitabo kay samundar mai Khawabeeda chehray ki ada’ain raqs karti hain Khuda janay kon si kashish hai tairi yadoon mai Taira zikr chairoon to hawa’ain raqs karti hain

Kion ulajhtey ho in sawalon mein?

Kion ulajhtey ho in sawalon mein?........ Bewafa tum nahin tou hum haungey !!!

Barish-e-sang-e- malamat main sharaboor rahey

Barish-e-sang-e- malamat main sharaboor rahey Harf aaye naa tujh par , tujh say door rahey Aatish e qalb bhujaney say kahan bhujtee hay Dil main khawabeedaa agar yaad kay shurur rahey Natawaan jism o jaan, dunyaa say woh takar laynaa Hum essee baat pay had darjaa maghroor rahey Dard barh jaye to khud aap marham hotaa hay Suna jo hum nay to phir hum bhee zakhm choor rahey Hansatey rahtey hain sar e bazm, hay aadat apnee Hum to woh hain kay dukh uthaa kay bhee masroor rahey Barh gayee had say sharafat to kuchlay jao gay Yaad har pal tumhain dunya kaa yeh dastoor rahey Ghazal main haal jo hum apna bayaan kar baithey es dil kay hathon bohat majboor rahey

Dost Kya Khoob Wafaon Ka Sila Dete Hain

Dost Kya Khoob Wafaon Ka Sila Dete Hain, Har Naye Mod Par Ek Zakhm Naya Dete Hain, Tum Se To Khair Ghadi Bhar Ki Mulakat Rahi, Log Barson Ki Rafakat Ko Bhula Dete Hain, Kaise Mumkin Hai Ke Dhuwan Bhi Na Ho Aur Dil Bhi Jale, *** Padti Hai To Patthar Bhi Sada Dete Hain, Kaun Hota Hai Musibat Mein Kisika Aye Sanam, Aag Lagti Hai To Patte Bhi Hawa Dete Hain, Jinpe Hota Hai Bahut Dilka Bharosa Jane Kyon, WaQt Padne Pe Wohi Log Daga Dete Hain...

Rabita duniya se barhany ki zarorat kya hai

Rabita duniya se barhany ki zarorat kya hai, Tu mera hai to duniya ki zarorat kya hai

yaar ko humne jabaja dekha

yaar ko humne jabaja dekha,  kahin zahir kahin chupa dekha,  kahin mumkin hua kahin wajib,  kahin faani kahin baqa dekha,  kahin woh badshah-e-takht nashein,  kahin kaasa liye gada dekha,  kahin wo der libaas-e-mashokan,  barsare naaz aur aada dekha,  kahin zahir jahin chupa dekha,  kahin aashiq niyaz ki soorat,  seena girya-o-dil jala dekha,  yaar ko humne jabaja dekha,  kahin zahir kahin chupa dekha,  yaar ko humne jabaja dekha...

jese Jese Waqat Guzarta Jata Hai

jese Jese Waqat Guzarta Jata Hai Zakham Tumhare Hijar Ka Bharta Jata Hai Kankar Pehnkne Walon Ko Kuch Ilm Nhi Pani Main Ik Aks Bikharta Jata Hai Dil Ki Gurbat Saray Ghar Main Phel Gai Tasveeron Se Rang Utarta Jata Hai Bujhti Ankh K Sa’aye Phalty Jaty Hain Sham Ka Manzar Or Nikharta Jata Hai”Mohsin” Is Ne Dil Ka Shaher Ujar Diya Main Smjhta Tha Bakht Sawanarta Jata Hai……

kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai

kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai ye zindagi teri zulfo’n ki narm chao’ main guzarne paati, to to shaadaab ho bhi sakti thi ye ranj o gham ki siahi jo dil pe chai hai ….. teri nazar ki shuaon main kho bhi sakti thi magar ye ho na saka … magar ye ho na saka … aur ab ye aalam hai … k tu nahi … tera gham, teri justuju bhi nahi guzar rahi hai zindagi is tarah k jese .. isay kisi k saharay ki aarzu hi nahi! na koi raah … na manzil ! … na roshni ka suraagh … bhatak rahi hai andhero main zindagi meri Inhi andhero main reh jaun ga kabhi kho kar … main jaata hoon meri ham nafs .. magar yunhi … kbhi kbhi mere dil main khayal aata hai … kabhi kabhi …

A Better Tomorrow

A Better Tomorrow I never knew there would be a better tomorrow But you've come into my life and taken away all my sorrow My days of sadness are a thing of the past Because I have found true love at last My days of emptiness are gone for good Because you fill a void in my heart that you should You've opened a window You've shown me the light And my love for you will continue to burn bright.

Kuch apne lub-o-lehje ko tabdeel woh karta

Kuch apne lub-o-lehje ko tabdeel woh karta Phir hum se bayan ranj ki tafseel woh karta Yak tarfa takazay to nibhaiy nahi jatay Kuch apne faraaiz ki bhi tameel woh karta Ilzamm lagata woh barey shauq say par Kuch apne kiye wadoon ki takmeel woh karta Kuch us ko bhi ehsaas to hota tanhai ka Kuch khuwab mere khud mein tabdeel woh karta..

Es EID Pe Lot K Aa Jana

Es EID Pe Lot K Aa Jana, Kuch Yadain Taaza Karni Hain, Kuch Lamhay Morr K Laney Hain, Kuch Tarey Torr K Laney Hain, Wo Masti Or Madhoshi, …Wo Bachpan Morr K Lana Hai, Es EID Pe Lot k Aa Jana, Ab Dil Ko Dil ki Dharkan Se, Phir EID Mubarak Kehna Hai, Ab Sath Boht Din Rehna Hai, Es EID Pe Lot K Aa Jana..!!!

Ab ke per eid ka din aa pohncha

c

Ye eid tere wasty khushbo ka naghar hay

Ye eid tere wasty khushbo ka naghar hay kya khooob ho har roz tari eid aghar ho har raat hasrat ke naye gheet sunaye Lamhat ke pairon pe bhi shabnam ka samar ho

Eid ab k baras nahi aye

Eid ka chand nazar ayega jis dam mujko

Eid ka chand nazar ayega jis dam mujko, Main tere wisl ki ay dost dua mangu ghi Main jo barson se hon tanhai ke sehra main muqeem, Ab tere ehd rafaqat ki ghata manghu ghi

wahi kaghaz, wahi kamrah, wahi ansooo wahi AAbi

wahi kaghaz, wahi kamrah, wahi ansooo wahi AAbi, wahi yaadoon ka sarmaya, wahi ashaaar ki batain..

Es bar mari jung hai khud apni zat se

Es bar mari jung hai khud apni zat se, Es bar haar jany ka imkan hay buht

Tum aao to hum bhi EID karen

"Tum aao to hum bhi EID karen" Hasrat hai tumhari deed karen Kuch der to dil ko chain mily Kuch roz to mann k phool khilen Kehty hain k EID ki aamad hai Hum log bhi kuch taaeed karen Tumse ik ye guzarish hai Ye apny dil ki khwahish hai Ik bar milo Ik bar milo Hr bar ye hi taakeed karen Maana k hum deewany hain Sab baaton se anjany hain Jab apny bhi begany hain, Kiya ghairon se ummeed krain Tum aao to hum bhi Eid karen Tum aao to hum bhi Eid karen...!!! 

Subh e Azadi by Faiz Ahmed Faiz -- Recited by Zia Muhaiyudeen

yeh daag daag ujala,yeh shab guzida sehar, wo intezar tha jis ka,yeh wo sehar to nai, yeh wo sehar to nai,jis ki arzoo lekar, chale te yaar ke mil jaye gi kai na kai, falak ke dasht mai taaro ka akri manzil, kai to hoga shab-e-sust moj ka sahil, kai to jake ruke ga safina-e-gham dil, jawan lahoo ki pur’israr sharahon se, chale jo yar to daman pe kitne haat pare, dayar-e-husan ki be-sabar khawab gao se, pukarti rai baahen, badan bulate rahe, baut aziz ti lakin rukh-e-sehar ki lagan, baut qarin ta hasinan e noor ka daman, subak subak ti tamanna,dabbi dabbi ti thakan, suna hai ho bi chuka hai firaq-e-zulmat o noor, suna hai ho bi shuka hai wisal-e-manzil o gaam, badal chuka hai baut ail-e-dard ka dastoor, nishat-e-wasal halal ho azab-e-hijar haram, jigar ki aag,nazar ki umang,dil ki jalan, kisi pe chara-e-hijran ka kuch asar hi nai, kaha se ayi nigar-e-saba,kidar ko gai, abi charg-e-sar e rah ko kuch kabar hi nai, abi girani-e-shab mai kaami ayi nai, n

Ye dagh dagh ujala, ye shab-gazida sahar

Ye dagh dagh ujala, ye shab-gazida sahar, Vo intizaar thaa jis-kaa, ye vo sahar to nahii, Ye vo sahar to nahiiN jis-kii aarzu lekar Chale the yaar ke mil-ja`egi kahiiN na kahiN Falak ke dasht meN taroN kii aakhiri manzil, KahiN to hogaa shab-e sust mauj kaa sahil, KahiN to jaake rukegaa safiina-e-gham-e-dil. JawaaN lahu kii pur-asraar shaahrahoN se Chale jo yaar to daaman pe kitne hath paRe; Diyaar-e-husn kii be-sabr khwaabgaahoN se Pukaarti-rahiiN baahen, badan bulaate-rahe; Bahut ‘aziiz thii lekin rukh-e-sahar ki lagan, Bahut qariin thaa hasiinaN-e-nuur kaa daaman, , Subuk subuk thii tamannaa, dabii dabii thii thakan. Sunaa hai ho bhii chukaa hai firaaq-e-zulmat-o-nuur, Sunaa hai ho bhii chukaa hai visaal-e-manzil-o-gaam; Badal-chukaa hai bahut ahl-e-dard kaa dastuur, Nishaat-e-vasl halaal o ‘azab-e-hijr haraam. Jigar kii aag, nazar kii umang, dil kii jalan, kisii pe chaara-e-hijraaN kaa kuchh asar hii nahiiN. KahaaN se aa’ii nigaar-e-sabaa, kidhar ko ga’ii? Abh

Khuda kary ke mere arz e pak par utry

Khuda kary ke mere arz e pak par utry, wo Fasle e gul jese andesh e zawaal na ho. Ameen

jub pas thi to pane ki aarzo na thi

jub pas thi to pane ki  aarzo na thi Ab ja rahi hai to muhabt howi jawan.

Har baar ki tarha is bar b EiD Tujh pe Qurban kar jaon ga

Har baar ki tarha is bar b EiD Tujh pe Qurban kar jaon ga. Main ye EiD b Teri Rakhwali me guzarun ga. Hathon me Raifal Seeney pe Golian sajaun ga Ay Watan Main ye EiD b Teri Sarhadon pe manau ga. Apni Khushiyan Gham Apne Tere Sath hi manau ga. Ay Watan katt jae sar tan se par Teri Qassam Tujhe bachaun ga. Main ye EID b Teri Sarhadon pe manaun ga. SALAM PAK FORCE.

Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai

Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai Suna hai sher ka jab pait bhar jaaye To wo hamla nahin kerta, Suna hai jab kisi nadi k paani main Bue k ghonsle ka gandami saaya larazta hai To nadi ki ro pehli machhilyaan us ko Parosi maan leti hain, Hava k taiz jhonke jab darakhton ko hilaate hain To Meena apne ghar ko bhool ker Ka’uve k andon ko paron main thaam leti hai Suna hai Ghonsle se jab koi bacha gire to Saara jangle jaag jaata hai. Naddi main baar aa jaaye Koi Pull toot jaaye To kisi lakri k takhte per Gulahri, Saanp, Cheeta aur Bakri Saath hote hain. Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai, Khuda-wanda Jaleel-o Mu’atbar, Daana-o Beena Munsif-o Akber, HUMARE SHAHAR MAIN AB, JANGLON KA HI KOI DASTOOR NAAFIZ KER..!!

Hum ny Tou Yoon Ujarr Di Jaisy

Hum ny Tou Yoon Ujarr Di Jaisy. . Zindagi Baap ki Kamaayi ho...........

Tum Bhi Sitam Karogay Toh Haasil Na Hoga Kuch

Tum Bhi Sitam Karogay Toh Haasil Na Hoga Kuch Ess Dil kay Aaar-Paar tu,Khanjar Hazaar Hain....!!

Ye zindagi tere saath ho

Ye zindagi tere saath ho, Ye arzoo din raat ho. Main tere sang sang chalu, ... Tu har safar mein mere sath ho, Main Kanton par b chal paru, Tere pyar ki jab barsat ho. Kabi sham dhale jab hum miley, Na din dhale na raat ho. Ye zindgi tere sath ho..

ThaKan tO agLe saFar ka BaHana Tha

ThaKan tO agLe saFar ka BaHana Tha.. UseY tO yUn BhI kOi Or SimT jaNa tHa..!

Kuchh Tum ko Bhi Aziz Hain Apne Sabhi Usool

Kuchh Tum ko Bhi Aziz Hain Apne Sabhi Usool........ Kuchh Hum Bhi Ittifaaq Se Zidd kay Mareez Hain.....!!

wo pattar ta main shesha ta nateja keaue nahi nekla

wo pattar ta main shesha ta nateja keaue nahi nekla, usy tokar lagana thi mujay bhi toot jana ta

Abhi who dard baqi hai

Abhi who dard baqi hai Agarchay waqt marham hai Magaar kuch waqt lagta hai Kisi ko bhool janay mein Dobara dil basanay mein Abhi kuch waqt lagna hai Abhi who dard baqi hai Main kis tarha nai ulfat mein Apni zaat gum kar doon K meray jism-o-wajdan mein Abhi who fard baqi hai Abhi uss shakhs ki mujh par Nigaah-e-sard baqi hai Abhi who ishq k raston ki Mujh par gard baqi hai Abhi who dard baqi hai..

Meri Ankon Ke Smndar Men Jalan Kaisi Hai

Meri Ankon Ke Smndar Men Jalan Kaisi Hai Phr Dilko Tarpne Ki Lagan Kaisi Hai Barf Ke Rup Men Dhal Jayege Ristey Mujse Pucho Mohabbat Ki Agan Kaisi Hai! Ab Kisi Chhat Pe Charagon Ki Qatarein Bhi Nahin Ab Tere Shehar Ki Galiyon Mein Ghutan Kaisi Hai Mein Tere Wisal Ki Khuwahish Ko Na Marne Doonga Mausam-E-Hijar Ke Lehje Mein Thakan Kaisi Hai Regzaron Mein Jo Banti Rahi Kaanton Ki Rida Us Ki Majboor Si Aankhon Mein Kiran Kaisi Hai Mujhe Masoom Si Pagal Larki Pay Taras Ata Hai Usey Dekho To Muhabbat Mein Magan Kaisi Hai

Meri Aarzu Hai,Tujhe Pyar Doon

Meri Aarzu Hai,Tujhe Pyar Doon, Tujhe Chahaton Se Nikhar Doon,,, Kahin Aansuon Main Doob Kar,,, Tujhe Har Ghari Main Qaraar Doon,,, Main Junoon-e-Ishq Mein Jhoom Kar,, Tujhe Qurbaton Ka Hisar Doon,,, Mujhe Tumse Kitna Pyar Hai,, Taaron ka Kaise Shumar Doon,,,, Mere Har Taraf Teri Soch Hai,,, Kaise Main Khud Ko Karar Doon,,,, Aa Kar Phir Tum Kahin Jao Na,,, Tumhein Apni Rooh Mein Yun Utar Doon.

Marti hui zameen ko bachana para mujhy

Marti hui zameen ko bachana para mujhy badal ki tarhan dashtt mai ana para mujhY..! Wo kar nahi raha tha meri baat ka yaQeen.. PhiR yun hua k.. MarR k dikhana para mujhY.. Us beWafa ki yaad.. Dilata tha baar bar Kal aaineY pe hath uthana paRa mujhY...! BhoulaY se meRi simT koi dekhta na tha ChahreY pe ik zakham lagana paRa mujhY..! Us be'wafa se hath milane k waste.. Mahfill mai sabse haath.. Milana paRa mujhY..! Yaden thi daFn aisi.. K baad-e-azz'furqat.. Us ghArr ki daikh'bhaal ko jana parRa mujhY..! Aise bichar kar us se to marR jana tha mai ne.. Uski nazar mai khudko giRana para mujhY..!

Dastaras Se Apni, Baahir Ho Gaye

Dastaras Se Apni, Baahir Ho Gaye Jub Se Hum Un Ko Mayassar Ho Gaye Hum Jo Kehlaaye Tuluu-e-Mahtaab Doobtay Sooraj Ka Manzar Ho Gaye Sheher-e-Khobaa.n Ka Yehi Dastoor Hai Murr Ke Dekha Aur Pathar Ho Gaye Be-Watan Kehlaaye Apne Dais Mein Apne Ghar Mein Reh Kar Be-Ghar Ho Gaye Sukh Teri Meraas Thay, Tujh Ko Milay Dukh Hamaaray Thay, Muqaddar Ho Gaye Wo Saraab Utraa Rag-o-Pe Mein Ke Ham Khud Faraibi Mein Samandar Ho Gaye

Meri marzi ka tasawur mere hath ki lakeerein

Meri marzi ka tasawur mere hath ki lakeerein Enhein kash tum badlte tu kuch aur baat hoti, Ye khule khule se baal enhein lakh tum sanwaro Mere hath se sanwarte tou kuch aur baat hoti, Main tera aaeena tha main tera aaeena houn Mere samne sanwrte tou kuch aur baat hoti, Abi aankh hi lari thi ke girra dia nazar se Yeh jo selsela barhate tou kuch aur baat hoti, Humain apni zindagi ka kuch gham nahi hai lekin Tere aastan pe mrte tou kuch aur baat hoti....

Sham k saaey jo suraj ko chupany niklay

Sham k saaey jo suraj ko chupany niklay, Hum diye le k andheron ko jalany niklay, Aur to kon tha jo jurm-e- baghawat karta, Aik hum hi the jo ye rasm nibhany niklay, Shaher mein, dasht mein, sehra mein bhi tujh ko paya, Aey gham-e-yaar tery kitnay thikanay niklay, Chand Nikla To Main Logo'n Se Lipat Kar Roya, Gham K Aansoo Thay Jo Khushiyon K Bahany Nikley...!!

Suno....!! Mujhe Har Pal Tumhari Yaad Aati Hai,

Suno....!! Mujhe Har Pal Tumhari Yaad Aati Hai, Kabhi Saanso K Chalne Py, Kabhi Dil K Machalnay Py, Kabhi Barish Barasnay Py, Kabhi Aankhen Chalak-ne Py, Kabhi Chanda Nikal-ne Py, Kabhi Suraj K Dhalne Py, Kabhi Shabb K Andheron Me, Kabhi Din K Sawairon Me, Kabhi Logo K Melay Me, Kabhi Tanha Akele Me, Tumhari, Bus Tumhari Yaad Aati Hai... Suno!! Mujhe Har Pal Tumhari Yaad Aati Hai

zikr-e-shab-e-firaaq se vahashat use bhii thii

zikr-e-shab-e-firaaq se vahashat use bhii thii merii tarah kisii se muhabbat use bhii thii mujh ko bhii shauq thaa naye cheharo.n kii diid kaa rastaa badal ke chalane kii aadat use bhii thii us raat der tak vo rahaa mahv-e-guftaguu masruuf mai.n bhii kam thaa faraaGat use bhii thii sunataa thaa vo bhii sab se puraanii kahaaniyaa.N taazaa rafaaqato.n kii zaruurat use bhii thii mujh se bichha.D ke shahar me.n ghul mil gayaa vo shaKhs haalaa.Nke shahar bhar se raqabat use bhii thii vo mujh se ba.Dh ke zabt kaa aadii thaa jii gayaa varnaa har ek saa.Ns qayaamat use bhii thii