Skip to main content

Posts

Showing posts from December, 2012

Aao Ke December Ko Rukhsat Karen

Aao Ke December Ko Rukhsat Karen Kuch Khushiyon Ko Sambhal Kar, Kuch Aansuon Ko Taal Kar, Jo Lamhe Guzre Chahton me, Jo Pall Beete Rafakaton Me, Kabhi Wqt K Sath Chalte Chalte, Jo Thak K Ruke Raston Me, Kabhi Khushiyon Ki Umeed Mili, Kabhi Bichre Huon Ki Deed Mili, Kabhi Be’panah MuskuRa Diye, Kabhi Hanste Hanste Ro Diye, In Sare Lamhon Ko Mukhtasir Kren, Aao k DECEMBER Ko Ruksat Kren…

zindagi khaak na thi, khaak urhake guzri

zindagi khaak na thi, khaak urhake guzri tujhse kia kehte, tere paas jo aate guzri din jo guzra to, kisi yaad ki ro main guzri shaam aayi to, koi khwaab dikhaate guzri ache waqton ki tamanna main rahi umar-e-rawan waqt aisa tha ke, bas naaz uthate guzri raat kia aayi ke tanhai ki sarghoshi main tujhse kia kehte, tere paas jo aate guzri   ghum ka aalam tha magar sunte sunate guzri tujhse kia kehte tere paas jo aate guzri

Gham e Zindgi teri raah mein

Gham e Zindgi teri raah mein Shabe Aarzo teri chah mein JO ujar gaya wo basa nahi jo bichar gaya wo mila nahi jo Dil o Nazar ka saroor tha Mere paas reh k bhi door tha wohi ek ghulaab umeed ka Meri Shaakh e Jan pe khila nahi Mera hamsafar jo ajeeb hay To mein bhi hon Ajeeb tar Use Manzilon ki khabar nahi Mujay Raston ka pata nahi Pas e Karwaan , Sar e Rehguzar Mein hara hon to es liye K qadam to sab se mila liye Mera dil kisi se mila nahi..

Koi har gya koi jeet gya

Koi har gya koi jeet gya, ye saal b akhir beet gya..! Kabi sapny sjaye ankho me kbi beet gae pal baton main, kuch talkh sy lamhat b thy, kuch hadsy aur sadmat b thy, kuch berukhi kuch becheni, kuch mun main simti weeraani. Kuch lamhe thy yadgaar bht, kuch lamhon ko brbaad kia.. Per ab k baras, RUB se dua ha ye , koi pal na apka udas guzry, koi rog na apko raas guzry, ap pholon ki trha khila kreyn, koi shakhs na ap se gila kry, ap khush rho abad rho, apka khwab ngar abad rhy, ap jo chahy wo ho jay, ap jo mango wo mil jay, apki maf wo hr ik khata kry, apko asey hi Rab ata kry. AMEEN.

Phir hoi sheen alif meem Khuda khair kare

Phir hoi sheen alif meem Khuda khair kare, Haath mai aa geya phir jeem alif meem Khuda khair kare. Mujh ko dar hai ke muhabbat mai kahi ho na jaon, Noon alif kaaf alif meem Khuda khair kare. Ishq k raah guzar mai hain bohat, Har taraf daal alif meem Khuda khair kare. Aur logon k liye kuch b nahi hum ne banaya hai tujhe, Gaaf laam fay alif meem Khuda khair kare. 'Ain sheen qaaf se paala jo para hai to ab, Aur koi nahi kuch kaaf alif mem khuda khair kare.

Yeh dil ka chor ke is ki zaroortain theen bohat

Yeh dil ka chor ke is ki zaroortain theen bohat, Wagarna tark-e-taluq ki soortain theen bohat, Miley to toot roye na khul ke batain keen, Ke jese ab dilon mein Kudurtain theen bohat, Bula diye hain tere gham ne dukh zamane ke, Khuda nahin tha tou pathar ki moortain theen bohat, Dareeda peerhano ka khayal kya ata, Ameer sheher ki apni zarooratain theen bohat, Faraz dil ko nigahon se ikhtlaaf raha, Wagarna sheher mein hum-shakal soortain theen bohat.

Phiray Ga TU Bhee Yun Hee Kuu-Ba-Kuu Hamari Tarah

Phiray Ga TU Bhee Yun Hee Kuu-Ba-Kuu Hamari Tarah Dareedah Daaman-o-Aashafta Muu Hamari Tarah Kubhi Tou Sang Se Phootay Gi Aabajuu Gham Ki Kubhi Tou Toot Ke Roye Ga TU Bhee Hamari Tarah Palat Ke Tujh Ko Bhee Aana Hai Is Taraf Laikin Lutaa Ke Qaafila-e-Rang-o-Buu Hamari Tarah Wo Laakh Dushman-e-Jaan Ho Magar Khuda Na Karay Ke Os Ka Haal Bhee Ho Huu-Ba-Huu Hamari Tarah Hum Hee “Faraz” Sazawaar-e-Sang Kiun Tehray ? Ke Aur Bhee Tou Hain Dewaana-e-Khuu Hamari Tarah

Phir Toot Ke Ronay Ki Rut Aayi Hai

Phir Toot Ke Ronay Ki Rut Aayi Hai Phir Se Dilon Ke Zakham Nikhartay Jaatay Hain Jhooti Sachi Taabeeron Ki Khwaahish Hai Kaisay Kaisay Khwaab Bikhartay Jaatay Hain Kaisay Kaisay Yaaron Ka Behroop Khula Kaisay Kaisay Khoul Utartay Jaatay Hain In Haalon Kab Apnay Aap Ko Dekha Tha ? Kehnay Ko Din Raat Guzartay Jaatay Hain Raahgeeron Ki Khamooshi Ko Gour Se Sun, Yun Hai Jaisay Maatam Kartay Jaatay Hain Kubhi Kubhi Koi Aisa Musaafir Aata Hai Rastay Apnay Aap Sanwartay Jaatay Hain Sheher-e-Ghazal Ki Galyon Mein Dilgeer Tere Tujh Se Teri Baatain Kartay Jaatay Hain

MUJHY TUM CHOR MAT DENA

MUJHY TUM CHOR MAT '''''DENA'''' Hazaroon Doriyan Aaen, Beharain Aa K Kho Jayen, Mera Chehra Bhula Dena, Meri Yadain Becha Lena, Jo Lamhay Derd Detay Hon, Unhain Beshak Bhula Dena, Jo Lamhay Aas Deytay Hon, Unhain Dil Se Laga Lena, Kahin Be Door Reh Lena, Boht Majboor Reh Lena, Megar Iss Doori ko, Tum Bahana Mat Bena Lena, Talluk Tor Mat Dena, MUJHY TUM CHOR MAT '''''DENA''''''

Yeh Aaine Kyon Tumhein Kam Pasand Karte Hain !!s

Yeh Aaine Kyon Tumhein Kam Pasand Karte Hain !!s Kyonki Yeh Jaante Hain Ke Tumhein Hum Pasand Karte Hain

Dil k lut jane ka izhaar zrori to nahi

Dil k lut jane ka izhaar zrori to nahi, Ye tamasha sar-e-bazar zaruri to nahi, Mujhe tha ishq teri rooh se or ab b hy, Jism se ho koi srokar zaruri to nahi, Main tujhe toot k chahoon to meri fitrat hy, Tu b ho mera talabgar zaruri to nahi, Nend To kanton k Bistar pe b a sakti hai, Teri Aghosh may Sar ho ye zrori to nahe, Ae sitamgar tu zara jhank meri ankhon may, Zuban se pyar ka '''izhaar''' zarori to nahi.

wo yaad aya kuch yun k loat aye sab silsilay

wo yaad aya kuch yun k loat aye sab silsilay, thandi hawa,sabz pattay aur december ki ye pehli raat 

Tujh Se Milne Ko Kabhi Hum Jo Machal Jate Hain

Tujh Se Milne Ko Kabhi Hum Jo Machal Jate Hain Too Kheyalon May Bohat Door Nikal Jate Hain Gar Wafaon May Sadaqat Bhi Ho Shiddat Bhi Ho Phir To Ehsaas Se Pathar Bhi Pighal Jate Hain Us Ki Aankhon K Nashy May Hain Jab Se Dobay Larkharate Hain Kadam Aor Sanbhal Jate Hain Bewafai Ka Mujhay Jab B Kheyal Aata Hay Ashk Rukhsaar Par Ankhon Se Phisal Jate Hain Pyaar May Aik Hi Mosam Hay Baharon Ka Faraz Log Mosam Ki Tarhan Kesay Badal Jate Hain....

"YAADON" ko bhulane main kuch dair to lagti hay

"YAADON" ko bhulane main kuch dair to lagti hay "ANKHON" ko sulany main kuch dair to lagti hay, Kisi "SHAKHS" ko bhula dena itna aasan nahi hota "DIL" ko samjhany main kuch dair to lagti hay, Bhari ”MEHFIL” main jab koi achanak yaad aa jay Phir "Aanso" chupany main kuch dair to lagti hay, Jo shakhs "JAAN" se b pyara ho achanak door ho jay Dil ko "YAQEEN" dilany main kuch dair to lagti ha

ye dil ka rogh ye chahat khuda kisi ko na dy

ye dil ka rogh ye chahat khuda kisi ko na dy   Buri bala hai muhabbat khuda kisi ko na dy

Afsurdgi k hatho jal jal k thak gai he

Afsurdgi k hatho jal jal k thak gai he, ay dil zara teher ham chal chal k thak gai he, jese k be yaqini taaber hochuki he, ham ahle khwab ankhe mal mal k thak gai he, kia jane kitni gehri zulmat me he muqaddr, kia jane kitne soraj dhal dhal k thak gai he, wamandgi hy tehri hasil safar khizar ka, tm ruk k thak gai ho ham chal k thak gai he, us kanj aafyat se dushman ki qaid achy, say me ham tmhare aanchal k thak gai he, shayad k taza dam ho ab damane gazal me, dukh dard aanso me dhal dhal k thak gai he.

Be-aitbar shakhs tha so waar kar gaya

Be-aitbar shakhs tha so waar kar gaya, Lekin mere shaoor ko be-daar kar gaya.. Kuch main nay ishtial main shikway gilay kiye,, Kuch wo shikayataien sar-e-bazaar kar gaya.. Pehlay wo meri zaat ki tameer main raha,, Phir mujh ko apnay haath se masmaar kar gaya.. Wo aa mila tou faaslay kat'tay chalay gaye,, Bichra tou rastay mere dushwar kar gaya.. Bichra kuch is ada se k rutt hi badall gayii,, Ik shaks saray seharr ko veeran kar gaya...

Aawargi mei nhum ny is ko bhi hunar jana

Aawargi mei nhum ny is ko bhi hunar jana.. Iqrar-e-wafa kerna phir us sy mukkar jana.. Jab khwab nahi koi kya zindagi ka karna hy.. Har subha ko jee uthna har raat ko mar jana.. Shab bhar k Thikane ko ik chatt k siwa kya hai..!! Kya waqt pe ghar jana kya dair se ghar jana.. Aisa na ho darya mein tum baar-e-garaa'n thehro.. Jab log ziada houn kashti se utar jana.. Suqraat k peene se kya mujh pe ayaa'n hota.. Khud zehr piya mein ne tab us ka asar jana.. Jab bhi nazar aao Ge hum tum ko pukare'n ge.. Chaho tou thehar jana chaho tou Guzar jana...

Mujhy arzu-e-sehr rhi

Mujhy arzu-e-sehr rhi, Yunhi raat bhar bari dair tak, Na bikhr ska Na simat ska, Yunhi raat bhar bari dair tak, Tha boht azab or akaily hm, shab-e-gham b meri taweel tr, Rhi zindgi b sraab or, rhi aankh tr bari dair tak, Yahan hr tarf hy ajab smaa, sabhi khud pasand sbhi khud numa, Dil-e-bekhabr ko na mil ska koi chara gr bari dair tk, Mujy zindgi hy aziz tr isi wasty mery humsafar Mujhy qtra qtra pilao zehr, jo kary asr bari dair tk....