Skip to main content

Kiya andheron k dukh,kiya ujaalon k dukh

Kiya andheron k dukh,kiya ujaalon k dukh

Jab hara dain muqaddar ki chaalon k dukh

Jin ki aankhein nahin woh na royein kabhi

Jaan jaayein agar aankh waalon k dukh

Meri manzil kahan,humsafar hai kidhar

 Maar daalain gay ab in sawaalon k dukh

Tum milay ho tumhari muhabbat nahin

 Hijr se barrh gaye hain wisaalon k dukh

Dau ghharri k liye paas baitho agar

Bhool jaayein hum kitnay saalon k dukh

Meri sochon k jaltay huay dasht se

Chheen lay aa k apnay khayyaalon k dukh

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother