Skip to main content

Tu hawa kay hath pe chahatoun ka dia jalanay ki zid na kar

Tu hawa kay hath pe chahatoun ka dia jalanay ki zid na kar
Yeh udaas logun ka sheher ha yahan muskuranay ki zid na kar,

Main muhabbatoun ka dasa hua, mera gham hai hadd say barha hua
Main shikasta ghar ki misal hun meray pas anay ki zid na kar,

Main teri ghazal to nahi hun jo, har ik kay lab per saji rahun
Main tow aik misra-e-dard hun, mujhay gungunanay ki zid na kar,

Abhi laot aa abhi waqt ha abhi jan baki ha jism main
Tujhay ilm hai meri jan hai tu, mujhay aazmany ki zid na kar.

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother