Skip to main content

Baaghi Men Aadmi Se, Na Munkir Khuda Ka Tha

Baaghi Men Aadmi Se, Na Munkir Khuda Ka Tha
Dar-Paish Mus’ala Meri Apni Ana Ka Tha

Gum-Sum Khara Tha Aik Shajar Dash-e-Khof Men
Shayad Woh Muntazir Kisi Andhi Hawa Ka Tha

Apne Dhooein Ko Chorr Gaya Aasmaan Par
Bujhte Huey Diye Men Guroor Inteha Ka Tha

Dekha Tou Woh Haseen Laga Sarey Shehar Men
Socha Tou Woh Zaheen Bhi Zaalim Bala Ka Tha

Lehra Raha Tha Kal Jo Sar-e-Shaakh Be-Libaas
Daaman Ka taar Tha K Woh Parchamj Saba Ka Tha?

Warna Makaan Tera Kahan, Chaandni Kahan?
Us Dast-e-Be-Charagh Men Shola Hina Ka Tha

Men Khush Hua K Log Ikthay Hen Shehar K
Bahar Gali Men Shor Tha, Lekin Hawa Ka Tha

Us Ko Gilaf-e-Rooh Men rakh Sanbhaal Kar
Mohsin Woh Zakhm Bhi Tou Kisi Aashna Ka Tha..

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother