Skip to main content

Hisab-e-Umr Ka Itna Sa Goshwara Hai

Hisab-e-Umr Ka Itna Sa Goshwara Hai
Tumeh Nikaal Kar Dekha Tou Sab Khasara Hai

Kisi Charaag Mein Hum Hein, Kisi Kanwal Mein Tum
Kaheen Jamaal Tumhara, Kaheen Hamara Hai

Woh Kia Visaal Ka Lamha Tha, Jis K Nashay Mein
Tamaam Umr Ki Furqat Hame Gawara Hai

Har Ik Sada Jo Hame Baazgasht Lagti Hai
Na Jane Hum Hein Dobara K, Yeh Dobara Hai

Woh Munkashif Meri Aankhon Mein Ho, K Jalway Mein
Har Aik Husn , Kisi Husn Ka Ishara Hai

Ajab Usool Hein Is Kaarobar-e-Dunya K
Kisi Ka Qarz , Kisi Aur Ne Utara Hai

Na Jane Kab Tha Kahan Tha, Magar Yeh Lagta Hai
Yeh Waqt Pehle Bhi Hum Ne Kaheen Guzara Hai

Yeh Do Kinare Tou Darya K Hogaey, Hum Tum
Magar Woh Kon Hai Jo Teesra Kinara Hai..................

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother