Skip to main content

Azab-e-Deed Mein Aankhein Laho Laho Kar Kay



Azab-e-Deed Mein Aankhein Laho Laho Kar Kay
Mein Sharam-saaz Howa Teri Justaju Kar Kay,

Kander Ki Teh Say Bareeda Badan Sarron Kay Siwa
Milla Na Kuch BHi Khazanoon Ki Aarzo Kar Kay,

Suna Hay Shaher Mein Zakhmi Diloon Kar Mela Hay
Chalein Hum Bhi Magar Pair'hen Rafoo kar Kay,

Musafat-e-Shab-e-HIjraan Kay Baad Ba'ed Khula
Hawa Dukhi Hay ... Chiraghon Ko Be-A'abro Kar Kay,

Zameen Ki Piyaas Ussi Kay Lahoo Ko Chaat Gaye
Woh Khush Howa Tha Samunder ko Aa'a-Bajo Kar Kay.

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother