Skip to main content

Habs-e-Duniya Say Guzar Jatey Hein

Habs-e-Duniya Say Guzar Jatey Hein
Aaisa Kartey Hein Keh Marr Jatey Hein

Kaisay Hotey Hein Bicharnay Walay?
Hum Yea Sochein Bhi Toa Darr Jatey Hein

Dil Jo Tootey Toa Sar-e-Mehfil Bhi
Baaal Be-Waja Bikhar Jatey Hein

Ab Na Dekho Meri Banjar Aankhein
Chartey Daryaa Toa Uther Jatey Hein

Dhoop Ka Roop Rachaney Walay
Shaam Ko Aur Nikhar Jatey Hein

Ab Na Murr Murr Kay Pukaroo Unko
Log Rastay Mein Taher Jatey Hein

Khaali Damann Say Shikayat Kaisi?
Aashk Ankhon Mein Toa Barh Jatey Hein

Tum Kahan Jao Gay Socho Mohsin?
Log Thakk Haar Kay Ghar Jatey Hein.

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother