Skip to main content

Zindagi Dard Bhi Dawa Bhi Thi



Humsafar Bhi Gharaiz-Paa Bhi Thi

Kuch Tou Thay Dost Bhi Wafa Dushman
Kuch  Meri  Aankh Men Haya  Bhi Thi

Din Ka Apna Bhi Shor Tha Lekin
Shab Ki Aawaaz Bhi Sada Bhi Thi

Ishq Ne Hum Ko Ghalib Daan Kia
Yehi Tohfa , Yehi  Saza  Bhi  thi

Ghard-e-Baad  Wafa Se Pehle Tak
Sar Pay Khaima Bhi Tha, Rida Bhi Thi

Maa Ki Aankhen Charagh Thi Jis Men
Mere Hum-Raah Woh Duaa Bhi Thi

Kuch Tou Thi Rehguzar Men Shamma Talab
Aur Kuch Taiz Woh Hawa Bhi Thi

Bewafa Tou Woh Khair Tha Amjad
Lekin Us Men Kaheen Wafa Bhi Thi….

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother