Skip to main content

Posts

Showing posts from February, 2013

uska maiyaar abhi muj se juda hay lakin

uska maiyaar abhi muj se juda hay lakin, wo bhi bekry ga to hojayga mere jaisa  

Zara Sa Dhiyan Rakh Lena Meri Pehli Muhabbat Hai

Zara Sa Dhiyan Rakh Lena Meri Pehli Muhabbat Hai... Wafa Ka Man Rakh Lena Meri Pehli Muhabbat Hai... Kahan Is Umer Mein Hum Bhais Badlein Gay Faqeeron Ka... Milan Aasaan Rakh Lena Meri Pehli Muhabbat Hai... Judayi K Dino Mein Log Chehray Bhool Jatay hain... Meri Pechaan Rakh Lena Meri Pehli Muhabbat Hai... Judayi Toh Main Seh Longa Magar Tum Phir Se Milnay Ka... Koi Imkaan Rakh Lena Meri Pehli Muhabbat Hai... Agar Shaya Karao Apna Pehla Sheri Majmua... Toh Yeh Unwaan Rakh Lena Meri Pehli Muhabbat Hai..

Woh dushman-e-jaan, jaan se pyara bhi kabhi tha

Woh dushman-e-jaan, jaan se pyara bhi kabhi tha, Ab kiss se kahen koi hamara bhi kabhi tha, Utra hai rag-o-pey* main to dil katt sa geya hai, Yeh zeher-e-judaayi ke gawaara bhi kabhi tha, Har dost jahan abar-e-gurezaan ki tarah hai, Yeh sheher kabhi sheher hamara bhi kabhi tha, Titlii ke taaqub* mein koi phool sa bacha, Aesa hi koi khawb hamara bhi kabhi tha, Ab agley zamaney ke milain log to poochain, Jo haal hamara hai, tumhara bhi kabhi tha, Har bazm main hum ne usey afsurdaa hi dekha, Kehtey hain Faraz anjuman-e-araa* bhi kabhi tha.

Abhi kro Mery sath Koi Bat phir so jana

Abhi kro Mery sath Koi Bat phir so jana Jb Dhal jaye Ye Raat Phr So Jaana, Muddat sy Piyasy hain Hum Teri Deed K Jb Bujh jaye Miri Piyaas Phr So jana, Kuch Tum Stao, Kuch Hum Staen Tum Ko Kuch Ho Jaye baat Phr so Jana, Abhi To Jaag Rahy Hain Chand Sitary Jab So Jaye Ye Kainaat Phr So Jana.

Udaas kaaghazii mausam main rang-o-buu rakh de

Udaas kaaghazii mausam main rang-o-buu rakh de Har ek phuul ke lab pe meraa lahuu rakh de, Zabaan-e-gul se chaTain taraashane wale Sukuut-e-naqsh main aaraaish-e-namuu rakh de, Chalaa hai jaanib-e-maiKhaanaa aaj phir vaa_iz Kahi na jaam pe lab apane bevazuu rakh de, Khudaa kare meraa munsif sazaa sunaane main Meraa hii sar mere qaatil ke ruu-ba-ruu rakh de.

Aajaow halaat ki zad main kisi din

Aajaow halaat ki zad main kisi din Hojaye ga maloom, KHUDA hay ka nahi.

Badnaam zamany main mohabbat nahi kartay

Badnaam zamany main mohabbat nahi kartay Dil walay to dushman se bhi nafrat nahi kartay, Ek baar jisay chaha sada us kay rahay phir Hum log amaanat main khayanat nahi kartay, Tanhai main kar lete hain yaad aansoo baha kar Zahir kabhi hum apni ebadat nahi kartay, Waqt aanay par maloom yeh ho jaye ga us ko Hum sirf dikhaway ki mohabbat nahi kartay, Likhtay hain faqat ek us kay liye ghazlain Har shaks pe hum aisay enayat nahi kartay.

Nibhanay ka irada ho to waada kar lya jai

Nibhanay ka irada ho to waada kar lya jai Chalo mil kar gham-e-hasti ko aadha kar lya jai, Andheri shab ka khatra ho to aisa kar lya jai Kisi jugnu ki baanhon ko sahara kar lya jai, Yahan kaantay bhi ugtay hain Yahan kalyan bhi khilti hain In hi kay darmyan reh kar guzara kar lya jai, Bharosay kay nahi laiq koi insaan yahan lekin Jo jeena hai to logon per bharosa kar lya jai, Lagaya jai andaaza andheri raat ka pehlay Phir us kay baad ashkon ko sitara kay lya jai.

Aadtain uski thi bus mujhay jalanay wali

Aadtain uski thi bus mujhay jalanay wali Baat ki hans kay magar dil ko dukhanay wali, Aajkal wo mujhay kuch badla huwa lagta hai Ho gain uski nighain bhi zamanay wali, Hum nay ikhlas ka daaman nahi chora ab tak Haye uski to mohabbat hai rulanay wali, Main nay samjha tha guzar jai ga mausam laikin Rut - e - barsaat bhi nikli to sataanay wali, Tumharay wastay ab koi nahi hai WASI Khud sai batain na karo dil ko behlanay wali.

Zuban hai to nazar koi nahi hai...

Zuban hai to nazar koi nahi hai... Andharay mein Sahar koi nahi hai.. Mohbat main faqat Sahra hai Janaa.. Mohbat main shajar koi nahi hai. Khamoshi chekhti jati hai lekin.. Kisi per bhi asar koi nahi hai.. Bhari basti mein tanha kar gae ho.. Ke jese yaha khatar koi nahi hai.. Ager insan ke baray puchtay ho.. Buht se hain magar koi nahi hai.. Main apne aap he se durr raha houn.. Muje tera tou koi durr nahi hai...

Saher Qareeb Hai Taaron Ka Haal Kya Ho Ga

Saher Qareeb Hai Taaron Ka Haal Kya Ho Ga, Ab Intezaar K Maaron Ka Haal Kya Ho Ga, Teri Nigaah Nay Zalim Kabhi Ye Socha Hai, Teri Nigaah K Maaron Ka Haal Kya Ho Ga, Naqaab Un Ka Ulatna To Chaahta Hoon Magar, Bigarr Gaye To Nazaaron Ka Haal Kya Ho Ga, Muqaabla Hai Tere Husn Ka Bahaaron Say, Naa_Jaanay Aaj Bahaaron Ka Haal Kya Ho Ga ….

Hai khushk boht mtti har simt bagoley hain

Hai khushk boht mtti har simt bagoley hain Sehra k bagolon se uthtey he tou sholay hain Tum khul k ager brso sehra main gulistaan ho Per tum se kahain kaisey , tum abr-e-gurizaan ho Tum Abr e gurezaan ho. Kehne ko tou sagar ho suntey hain maseeha ho Tum tk kbhi pohnchain gey agr koi zriya ho Bs aik tum he khuwahish tum aik he armaan Per tum se kahain kaisey tum abr-gurizaan ho Tum abr e gurezaan ho Mil jao agr hum ko hum jashn mnaayen gey Dharti ne na dekhey houn wo phool khilaayen gey Aankhon main ujaaley houn her simt chiraghaan ho Per tum se kahain kaisey tum abr-e-gurizaan ho Tum abr e gurezaan ho

Nayi manzil Naye Raste Naya Hi Karwan Ho Ga

Nayi manzil Naye Raste Naya Hi Karwan Ho Ga, Na Houn Ge Hum Yahan Lakin Basa Phir Bhi Jahan Ho Ga.. Koi Hum Se Bura Ho Ga Koi Hum Se Bhala Ho Ga, Bohat Hoon Ge Zamaney Mein Koi Hum Sa Kahan Ho Ga.. Abhi Tu Bekhabar Hein Meri Hasti Se Jahan Waley, Mera Charcha Zamaney Mein Yaqeenan Kal Kalan Ho Ga.. Kati Zeast Apni Aaj Tak Tu Imtihaanoun Mein, Khuda Janey Abhi Kab Tak Humara Imtihaan Ho Ga.. Jo Rakhta Thaa Yaqeen Hum Per Kabhi Eemaan Ki Had Tak ..., Khabar Kya Thi K Woh Bhi Hum Sey Aisa BaD'guman Ho Ga...!!

Chahat teri chupa k jiye jaa rahi hu main

Chahat teri chupa k jiye jaa rahi hu main,, Khud ko haseen faraib diye jaa rahi hu main.. Tu be-wafa hai phir bhi mera honsla to dekh,, Tujh pe wafa nisaar kiye jaa rahi hu main.. Bhar ke tere daman me musarrat ki kehkashaa'n,, Sougaat aansuo'n ki liye jaa rahi hu main.. Ruswa na ho jaye tu is jahan me is liye,, Honton ko apne khud hi siye jaa rahi hu main.. Moorat teri tarash kar poojungi is liye,, Pathar teri gali ka ek liye jaa rahi hu main..!!

Teri khushbu me base khat Main jalata kaise

Teri khushbu me base khat Main jalata kaise. pyar me dhobe hue khat Mein jalata kaise. Tere haton ke likhe khat Mein jalata kaise. jinko dunia ki nigahon se chupaye rakha. jinko ko ek umr kaleje se lagaye rakha. deen jinko jinhe imaan banye rakha. Teri khushbu me base khat me jalata kaise. jinka har lafz Mujhe yaad hai pani ki tarah. yaad the mujh ko jo pegame zubani ki tarah. Mujh ko pyare the jo anmol nishani ki tarah. Teri khushbu me base khat me jalata kaise. Tune duniya ki nigaho se jo bach kar likhe. sal.ha.sal Mere naam barabar likhe. kabhi din me toh kabhi raat ko uthkar likhe. Teri khushbu me base khat me jalata kaise. pyar me dube hue khat Main jalata kaise. Tere haton ke likhe khat me jalata kaise. Tere khat Aaj Main Ganga me baha aya hun. Aag Behte hue pani me laga aaya hun.   

Sabhi chahatain sabhi rahatain

Titliyaan : Sabhi chahatain sabhi rahatain Usi hamsafar kay dam say theen Woh geya to meri aankh main Ik aisi rut bassa geya Jo roshni thi kho gai Jo titliyaan theen mar gaeen Bas ik shab-e-siyaah hay jo Meri hamsafar hay ab Ghamon ki aisi bheerh hay Thi ik khushi nahin rahi