Skip to main content

Posts

Showing posts from March, 2013

Jugnoo, Gohar, Charaagh, Ujaley Tou De Gaya

Jugnoo, Gohar, Charaagh, Ujaley Tou De Gaya Woh Khud Ko Dhoondne K Hawaley Tou De Gaya Ab Is Se Barh Kar Kia Ho, Virasat Faqeer Ki Bachon Ko Apni Bheek K Piyaley Tou De Gaya Ab Meri Soch Saey Ki Soorat Hai , Us K Gird Men Bujh K Apne Chaand Ko Haaley Tou De Gaya Shayad K Fasl-e-Sung-e-Zani Kuch Qareeb Hai Woh Khailney Ko Barf K Haaley Tou De Gaya Ehl-e-Talab Pe Us K Liye Farz Hai Duaa Khairaat Men Woh Chund Niwaley Tou De Gaya Mohsin Usay Quba Ki Zaroorat Na Thi Magar Dunya Ko Roz-o-Shab K Do-Shaaley Tou De Gaya…

Baaghi Men Aadmi Se, Na Munkir Khuda Ka Tha

Baaghi Men Aadmi Se, Na Munkir Khuda Ka Tha Dar-Paish Mus’ala Meri Apni Ana Ka Tha Gum-Sum Khara Tha Aik Shajar Dash-e-Khof Men Shayad Woh Muntazir Kisi Andhi Hawa Ka Tha Apne Dhooein Ko Chorr Gaya Aasmaan Par Bujhte Huey Diye Men Guroor Inteha Ka Tha Dekha Tou Woh Haseen Laga Sarey Shehar Men Socha Tou Woh Zaheen Bhi Zaalim Bala Ka Tha Lehra Raha Tha Kal Jo Sar-e-Shaakh Be-Libaas Daaman Ka taar Tha K Woh Parchamj Saba Ka Tha? Warna Makaan Tera Kahan, Chaandni Kahan? Us Dast-e-Be-Charagh Men Shola Hina Ka Tha Men Khush Hua K Log Ikthay Hen Shehar K Bahar Gali Men Shor Tha, Lekin Hawa Ka Tha Us Ko Gilaf-e-Rooh Men rakh Sanbhaal Kar Mohsin Woh Zakhm Bhi Tou Kisi Aashna Ka Tha..

Apne Ehsaas K Sab Rung Utar Jane Do

Apne Ehsaas K Sab Rung Utar Jane Do Meri Umeed Mere Khuwaab Bikhar Jane Do Apne Aangan Men Charagon Ko Jalao Na Abhi Mere Aangan Men Siyah Raat Utar Jane Do Badi Mushkil Se Mila Hai Mujhe Mere Ghar Ka Pata Raasto Ab Tou Na Uljhoo, Mujhe Ghar Jane Do Jin K Aane Ka Bohat Shor Hua Tha Har Soo In He Lamhon Ko Chup-Chaap Guzar Jane Do Meri Barbaadi Ka Ilzaam Na Aaey Tum Par Mere Halaat Ko Kuch Aur Bigarr Jane Do…..

Wo jo mehv thay sare aina, pas e aina bhi to dekhte

Wo jo mehv thay sare aina, pas e aina bhi to dekhte Kabi roshni myn wo tergi ko chupa hua b to dekhte, Sar e aab jo raha tashna lab, to ye zabt e gham ki hay inteha Mere hal pay thay jo nukta cheen, mera hosla bi to dekhte, Wo utar gaye thay jo paar khud, mujhay beehch behar main chorr kar Tha jo un main itna hosla mujhay doobtha b tu dekthay, Jinhayn muj say hy ye gila k myn raha be nayaz e khuloos o rab Mere gird rasm o rawaj ka kabi dayera bi to dekhte, Wo meri hansi say hayn khush guman, k nishat e zeest hay muda'aa Mery ashq e gham ka wo ruka hua kabi qafila bi to dekhtejaun elia, Hon saza k baad b nohtaram, tu hain h airaton me ye log kyon Zara zehr-e-haq ka meri tarah kabhi zaiqa bh tu dekhtay, Wo bhoht he sehal samajh rahay thay meri tishnagi se mout ko Mere jism se tooti saans k, wo rabata bhi tu dekhtay.

Suno Ae Chaand Si Larki

Suno Ae Chaand Si Larki Abi Tum Titliyaan Pakro, Ya Phir Gurriyon Se Khelo Tum. Abi In Masoom Si Aankhon Se Dheron Khawaab Dekho Tum Faraz -O-Faiz-O-Mohsin Ki Kitaabain Mat Abhi Parhnaa, Yeh Sab Lafzon K Saahir Hain Tumhain Uljha K Rakh Dain Gay Tumhain Maloom Hi Kab Hai, K Mohabbat K Libaday Main Hawas-o-hirs hoti hay Ye Insano ki dunya hsy magar in se kahi barr kar yaha wehshi darende hay, Wo wehshi darnde jin ki aankhon main machalthay pyaar k peechya hawas aur hirs hoti hay. Abi kachi kali gho tum abhi kanton se mat khelo Abhi Apni Hatheli Pay Kisi Ka Naam Mat Likho, Abhi Apni Kitaabon Me Gulaabi Phool Mat Rakho Aabhi sheroon main mat uljho, aabhi umer baqi hay, Aabhi khud ko sanbhalo tum, aabi mat gungonao tum Aabhi se Ishq mat sochon, aabhi sb bhool jaon tum, Sunno Ae Chaand Si Larki.

Main ne har dour main insaan he martey deika

Main ne har dour main insaan he martey deika Ishq kambakht tujhay mout kyon nahi aat ?

Aaj kuch suno Mujh Se K Dil Ki Haalat Ajeeb Hai

Aaj kuch suno Mujh Se K Dil Ki Haalat Ajeeb Hai Ghamgeen Hai Tabiat Rang-e-Chahat Ajeeb Hai, Us ki Baatain us ki Aankhain Badal Rahi Hain, Lag Raha Hai Shab-e-hijr Qareeb Hai, Tor kar Qasmain Woh Badal Raha Hai Nigahain Main samajh Giya Ab Us Kay Paas Raqeeb Hai, Bhula kar Mujhay Ab Rehta Hai Woh Khush Aur Mujhay Woh Marz Diya Jis Ka Na koi Tabeeb Hai, Musalsal Mere Dil Pe Gham-e-Yaar K Sitam Hain, Yun Lagta Hai "WASI" K Ab Meri Mout Qareeb Hai.

Ajab Taqazay Hen Chahaton K

Ajab Taqazay Hen Chahaton K Bari Kathan Yeh Musafatein Hen Men Jiski Raahon Men Bich Gaya Hoon Usi Ko Mujh Say Shikayatein Hen Shikayatein Sab Baja Hen Lekin Men Kese Us Ko Yaqeen Dilaon Jo Mujh Ko Jaan Se Azeez Tar Hai Usay Bhulaaon Tou Mar Na Jaon Men Khamoshi Ki Inteha Men Kahan Kahan Se Guzar Gaya Hoon Usay Khabar Bhi Nahi Hay Shayad Men Dheere Dheere Bikhar Gaya Hoon..

Jis Ne Teri Ana Ki Khatir

Jis Ne Teri Ana Ki Khatir Wafa Ki Khatir Hanste Baste Jahan Ko Chora Tamam Duniya Se Rishta TOra Tumhari Ankhon Main Rang Saja Ke Wafa Ka Tujh Ko Shah Bana Ke Tumhare Qadmon Main Sar Jhuka Ke Ibaadaton Ko Dawam Baksha Tujhe Zamane Main Naam Baksha Tumhari Khatir Tamam Zulmon Se Larne Wala Bohot Ranjeedah Sitam Raseedah Wafa Guzeedah Kal Ek Koche Main Roo Raha Tha Kisi Ne Pocha To Kiya Kaho Gay? Jawab Do Na..

Chaahhat Ka Rung Tha Na Wafa Ki Lakeer Thii

Chaahhat Ka Rung Tha Na Wafa Ki Lakeer Thii Qaatil Ke Haath Main Too Hina Ki Lakeer thii Khush Hoon Ke Waqt-e-Qatal Mera rung Surkh Tha Merey Labon Pe Too Harf-e-Dua Ki Lakeer Thii Main Karwaan Ki Rah Samajhta Raha Jisse Sehra Ki Reit Pe Woh Hawa Ki Lakeer Thii Sooraj Ko Jis Ne Shab Ke Andheiron Main Gum Kia Mouj-e-Shafaq Na Thii Woh Qaza Ki Lakeer Thii Guzra Hai Shab Ko Dasht Se Shaid Woh Pardah Daar Her Naqsh-e-Pa Ke Saath Rida Ki Lakeer Thii Kal Uss Ka Khat Mila Ke Saheefa Wafa Ka Tha Mohsin Her Ek Satar Haya Ki Lakeer Thii

Wafa ke waday woo saray bhula gaiya chup chap

Wafa ke waday woo saray bhula gaiya chup chap Woo mairay dil ki dewarein hila gaiya chup chap Gham e hiyaat Kai taptay howay biyanban main Wo tanha choor Kai mujh ko chala giya chup chap Na jannay kon as wo badnaseeb lamha tha Jo gum ki aag mai mujh ko jala gaiya chup chap Mai jis ko chuti houn eshrat woo zakhm daita hey Woo phool aisay chaman mai khila gaiya chup chap Wafa ke waday woo saray bhula gaiya chup chap Woo mairay dil ki dewarein hila gaiya chup chap.....!!

Koi tumse pooche kaun hoon main

Koi tumse pooche kaun hoon main, Tum keh dena koi khaas nahi. Ek dost hai kaccha pakka sa, Ek jhooth hai aadha saccha sa. jazbaat ko dhake ek parda bas, Ek bahana hai accha sa. Jeevan ka ek aisa saathi hai, Jo door ho ke pass nahin. Koi tumse pooche kaun hoon main, Tum keh dena koi khaas nahi. Hawa ka ek suhana jhonkha hai, Kabhi nazuk toh kabhi tufaano sa. Sakal dekh kar jo nazrein jhuka le, Kabhi apna toh kabhi begaano sa. Zindgi ka ek aisa humsafar, Jo samandar hai, par dil ko pyaas nahi. Koi tumse pooche kaun hoon main, Tum keh dena koi khaas nahi. Ek saathi jo ankahi kuch baatein keh jaata hai, Yaadon me jiska ek dhundhla chehra reh jaata hai. Yuh toh uske na hone ka kuch gham nahi, Par kabhi-kabhi aankho se ansu ban ke beh jaata hai. Yuh rehta toh mere tassavur me hai, Par in aankho ko uski talaash nahi. Koi tumse pooche kaun hoon main, Tum keh dena koi khaas nahin……..

ab teri yaad se wehshat nahi hoti mujhko

ab teri yaad se wehshat nahi hoti mujhko zakhm khulte hain aziyat nahi hoti mujhko ab koi aaye,chala jaye main khush rehta hon ab kisi shaks ki aadat nahi hoti mujhko aesa badla hon tere shehr ka paani pee kar jhoot boloon to nadamat nahi hoti mujhko hai amaanat mein khayaanat,so kisi ki khatir koi marta hai to hairat nahi hoti mujhko itna masroof hoon jeene ki hawas mein Mohsin saans lene ki b fursat nahi hoti mujhko . . .

woh silsile, woh shauq, woh nisbat nahi rahi

woh silsile, woh shauq, woh nisbat nahi rahi, ab zindagi mein hijr ki wehshat nahi rahi. phir yun hua ke koi shanasa nahi raha, phir yun hua ke dard mein shiddat nahi rahi. phir yun hua ke ho gaya masroof woh bahut, aur ham ko yaad karne ki use fursat nahi rahi. ab kya kisi ko chaahen ke ham ko to in dino, khud apne aap se bhi muhabbat nahi rahi.

Apnay Sard Kamray mein

Apnay Sard Kamray mein Mein Udaas Beithi Hoon Neem-Waa Darichoon sy . . Nam Hawaaein aati Hain . . Meray Jism Ko Chu Kar . . Aag C Lagati Hain . . Kaash meray parr Hotay . .. Teray paas Urr aati . . Kaash mein Hawwa Hoti . . Tujh Ko Chu K Laot aati . . Mein Nahi Magar Kuch Bhi . . . Sang-Dil Riwaajoo K . . Aahinii Hisaaron mei . . Umrr Qaid Ki Mulzim . . . Sirf aik Larki Hoon . . Sirf aik Larki Hoon . ..

Milay gi hum ko bhi apni naseeb ki khushiyan

Milay gi hum ko bhi apni naseeb ki khushiyan Bus intezaar hay kab ye kamaal hona hay

Yaqeen Aata Nhi Dil Ko k aisa ho B Skta hy

Yaqeen Aata Nhi Dil Ko k aisa ho B Skta hy Hamara Hal-e-Gham Sun kr wo Zalim ro b Skta Hy Kabi insan Akela ho k b Tanha Nhi Hota Sar-e-Mehfil kabi Bethy Bethaye Kho b Skta Hy Ta'ajjub kyun Hy Tumko Hamari Be-Gunahi Par karm ka Aik Qatra Dagh-e-Daman Dho b Skta Hy Kabi insan ko Neend Ati Nhi Phoolon k bister Par Kabi Phattar pe Sar Rakh kr Aksar So b Skta Hy Wo kehty Hyn Teri khatir Sitare Tor Laengy. Ba-zahir Yun Nhi Hota Mgr yun Ho b Skta hy.

Bar Bar Aik Hi Nazara Na Dikhlaya Kar

Bar Bar Aik Hi Nazara Na Dikhlaya Kar Bat Dilkash Bhi Agar Ho To Na Douhraya Kar Log Gir Jate Hain Matti K Gharoundon Ki Tarah Is Tarah Barish-E-Deedar Na Barsaya Kar Pairr Ka Saya Nahi Toota Howa Patta Hon Mujh Ko Jazbat K Daria Mein Na Thehraya Kar Toot Jay Na Kisi Roz Tera Sheesh Mehal Youn Sar-E-Rah Na Deewano Ko Samjhaya Kar Mere Ehsas Ko Ek Phool Bahut Hai

Yehi Zindagi ka assol hye

Yehi Zindagi ka assol hye, Jo bichar gaya ussy Bhool ja, Jo mila hye Dil se laga k rakh, Jo nahi mila ussy Bhool ja, Na wo Dhoop tha na wo Chandni, na Chirag tha na wo Roshni, Wo Khayal tha koi Khuwab tha, Wo tha Aaina ussy Bhool ja, Wo jo tery Dil k Qareeb tha, Wo na jany kis ka NASEEB tha, Tujhye Hans k us ny Bhula diya, To b Muskura kar ussy.

Kis ne DARKAN ko Torr Dia He

Kis ne DARKAN ko Torr Dia He, Tanha kar k Chorr Dia He, Shaakh Pe Nazuk Phool khila Tha, Taiz Hawa Ne Torr Dia Hai, Meri Janib Aatay Aatay, Kis ne Tujh ko Morr Dia Hai, Jis ko Jitna Toot k Chaha, Us ne Utna Torr Dia Hai, Mein Bhi Sochoon woh Bhi Sochey, Kis ne kis ko Chorr Dia Hai

Yonhi ajnabi na bna kro

Yonhi ajnabi na bna kro, Kabi muskra k mila kro, Kabi sun tou lo mra hal-e-dil, Kabi mujh se koi gila kro, Tri ik nazar tri ik ada, Mere dil ko kr day la-pta, Mery dosto, mere ham-nawa, Mery dil ka koi pta kro, Yeh tareeq-e-ishq hy kuch to ho, Ya wafa kro ya jafa kro, Koi feisla mere Mehrban, Koi rasm tum b ada kro, Na he zeest ka koi rasta, Na he khud-kushi ka hy hosla, Mujeh payar do mujeh maar do, Koi kaam tum b kiya kro.....!!

Tu ne yeh mashvara suna hai kya?

Tu ne yeh mashvara suna hai kya? Zindagi ishq ke siwaa he kya! Katalin sab sazayain ab to bataa, ayee sitamagar, mera gunah he kyaa? Aahh mehfil me naa nikalanay di , Chhup ke rona bhi kuch gunah he kya? Umr bhar na mila he mujhako sukun , Maut hi aeakhri panah he kya? Aye mere jurm ginaanay walay Tere ghar koi aaina he kya? Chaand itna udaas dhundhala he, Mujhase ziyada bhi tanhaa hai kyaa? Ajanabi se woh aaj baithe hain , Qatl ka yeh hi din chuna he kya?