Skip to main content

Posts

Showing posts from July, 2013

Husan aur ishq

Husan aur ishq Husn kehta hy ronaq muj se,ishq hy jo ashkara nhi, Ishq kehta hy lazawal hon main husan hy jo paeedar nahi

Uska mayyar abhi muj sa juda hay lakin

Uska mayyar abhi muj sa juda hay lakin, wo bhi bekre ga to hojayega mere jaisa

Chiragh-e-shab ko jaisy Aandhiyan achi nahi lagtin

Chiragh-e-shab ko jaisy Aandhiyan achi nahi lagtin, Kuch aisy hi hamain khush fehmiyan achi nahi lagtin. Jinhain sonay k pinjry min ghiza mil jaye chaandi ki, Unhain phir umar bhar Aazadiyan achi nahi lagtin. Wo jin k dil main fasl-e-gham ne ghairy daal rakhy hon, Unhain phoolon pe bethi titliyan achi nahi lagtin. Mera Dil Chahta Hai Unko Main Aaina Dikhlaun, Wo Jin Ko Doosron Ki Khoobiyan Achi Nahi Lagtin

Kahan Kisi Ki Qayamat Mein Mara Jaon Ga

Kahan Kisi Ki Qayamat Mein Mara Jaon Ga Main Kam Shinas Murrawat Mein Mara Jaon Ga Mujhay Bataya Huwa Hay Meri Chatti Hiss Ne Main Apnay Ahd e Khilafat Mein Mara Jaon Ga Mera Yeh Khoon Mery Dushmanoo k Sir Ho Ga Main Dostoo Ki Hirasat Mein Mara Jaon Ga Main Chup Raha To Mujhay Mar De Ga Mera Zameer Gawahi Di To Adalat Mein Mara Jaon Ga Faraagh Mery Liye Maut Ki Alamat Hay Main Apni Pehli Faraghat Mein Mara Jaon Ga Nahi Maroon Ga Kisi Jung Mein Yeh Soch Liya Main Ab Ki Bar Muhabbat Mein Mara Jaon Ga..!!!

Kahin dil pe kabu hamara jo hota

Kahin dil pe kabu hamara jo hota Kabhi zindagi mein tumhara jo hota Khushi se bhi koi chaman chhodta hai Koi aik kanta hamara jo hota Na hota bharosa to kartay duaein Wo khud de hi deta hamara jo hota Main ghafil nahi tha teri rahguzar mein Zara tu ne mujhko pukara jo hota Gila ham na kartay kabhi zindagi se Khushi ka agar ek sharara jo hota Ghazal aisi sarwar kabhi tum na kahtay Zamanay mein koi tumhara jo hota

Behkay Behkay Huwey Andaaz-e-Bayaan Hotay Hain

Behkay Behkay Huwey Andaaz-e-Bayaan Hotay Hain Aap Hotay Hain Tou Phir Hosh kahaan Hotay Hain Hont Paaband Hain Mafhoom Bayaan Hote Hain Koi Samjhay Tou Yeh Aansu Bhi Zubaan Hotay Hain Yaad Hai Teri Nigaahon ka Badalna Mujhko Aisay Andaaz Qayaamat Mein Kahaan Hotay Hain Kyun Shab-e-Ghum Na Jalaaun Teri Yaadon Kay Chiraagh Un say Roshan Meri Manzil Kay Nishan Hotay Hain Ghum Hai Baaqi Tou Kisi Roz Khushi Bhi Hogi Phool Bhi Khaar Kay Pehlu Mein Jawaan Hotay Hain

Darr badr ki saza say darty hain

Darr badr ki saza say darty hain, Khusk patte hawa say darte hain. Youn teri be rukhi se darty hain, Loag jesy KHUDA se darty hain. Aandheon se kabhi muhabbat thi, Ab to baad-e-saba se darty hain. Nafraton nay wo lazaten bakhshin, Chahton ki bala se darty hain. Doston ka karam hai k, Zindagi ki dua se darty hain 

Bichar kar tujh se zinda hoon meri taqdeer to dekho

Bichar kar tujh se zinda hoon meri taqdeer to dekho, Kabhi aa kar mere halaat ki tasveer to dekho, Mujhe mehfil mein dekha tu kaha us ne raqeboon se, Mera aashiq, mera paagal, mera dargeer to dekho, Teri tasveer ke peeche hain jaalay bewafayi ke, Ullat kar tum zara apni, kabhi tasveer to dekho, De kar pyar ki daulat khareeday khoon ke aansu, Milli jo ishq mein, zara jageer to dekho, Likha hai naam saahil ka shararat hai raqeboon ki, Yeh khat mera nahi janaan, zara tehreer to dekho..

Mere Naseeb Me Phir Ye Bahar Ho K Na Ho

Mere Naseeb Me Phir Ye Bahar Ho K Na Ho Najane Phir Wo Mera Ghumgusar Ho K Na Ho Yehi Buhat Hy K Ek Shakhs Chain Pa Jaey Bhale Darkht Buhat Saya Dar Ho K Na Ho Isi Gumaan Ne Kbhi Lotne Diya Na Mujhy Najane Usko Mera Intzar Ho K Na Ho Magr Ye Tyy Hai K Me Uske Gum Men Rehta Hun Mere Liye Wo Bhale BeQrar Ho K Na Ho Me Dhop Ban Nhi Sakta ‘WASI’Kisi K Liye Mere Liye Koi Abr E Bahar Ho K Na Ho

Bichar k Tujh Se Ye Khud Ko Saza Di Maine

Bichar k Tujh Se Ye Khud Ko Saza Di Maine..... Teri Talash Main Aik Umer Laga Di Maine....... Tujhe jo dil se nikala to yunlaga jaise,..... Apne ander koi deewar gira di maine...... Gounge behro main raha jaise koi Nabina.... Zindagi tere bina aisay bita di maine..... Tuje jo Achanak se jo khoya to Laga Zindagi aik hi Lamhen mainGanwa Di Maine......!!!! ­ !

Saare waadon ko bhula sakta hun, Magar rehne do..!

Saare waadon ko bhula sakta hun, Magar rehne do..! Mai tumhein chhor ke ja sakta hun, Magar rehne do..! Tum jo har mod pe keh deti ho khuda hafiz... Faisla mai bhi suna sakta hu, Magar rehne do..! Tum ne jo baat ki dil ko dukhane wali... Us par mai muskura bhi sakta hun, Magar rehne do..! Sharam aayegi tumhe apni hi baaton par... Tumhare waade main tumhe yaad dila bhi sakta hun, Magar rehne do....

Ham kisi chashm-e-fusoon saz mein rakhay huay hain

Ham kisi chashm-e-fusoon saz mein rakhay huay hain Khwab hain, khwab kay andaz mein rakhay huay hain Taab anjam-e-muhabba t ki bhala kya latay Natawan dil wahin, aaghaz mein rakhay huay hain Jaltay jaen gay abhi aur chraghon say chragh Jab teri anjuman-e-naaz mein rakhay huay hain Ay hawa!aur khizaon kay ilawa kya hai Waswasay kion teri aawaz mein rakhay huay hain? Ik sitaray ko to main subh talak lay aaei, Beshtar,raat kay aaghaz mein rakhay huay hain Kat kay woh par to hwaon mein kahin ur bhi gaey Dil yahin,hasrat-e- prwaz mein rakhay huay hain Ham to hain aab-e-zar-e-ish q say likhay huay harf Baish qeemat hain, buhat raaz mein rakhay huay hain...