Skip to main content

Posts

Showing posts from July, 2015

Koi Apna Nahin Banta?!!!

Labo?n Py Naam Rakhny Sy Dilo?n Mein Yaad Karny Sy Har Ek Dhadkan, Har Ek Tadpan Kisi Ke Naam Karny Sy Koi Apna Nahin Banta?!!! Tamam Umr Ki Khushiya?n Mohabbat Ki Sabhi Ghadiya?n Kisi Ko Daan Karny Sy K, Uss Py Maan Karny Sy Koi Apna Nahin Banta?!!! Wo Pehly Pyar Ki Baatei?n Rafaqat Ki Sabhi Raatei?n Wo Chahat Ki Sabhi Rasmei?n Mohabbat Ki Sabhi Qasmei?n Humesha Yaad Rakhny Sy Koi Apna Nahin Banta?!!! Kisi Tanha Akeli Raah-Guzar Par Purany Sy Kisi Boodhey Shajar Par Patthar Sy Koi Dil Banany Sy Aur? Us Mein Apna Aur Kisi Ka Naam Sajany Sy Koi Apna Nahin Banta?!!! K Jab, Aankhei?n Hi Mar Jaaye?n Tou Phir Sapna Nahi Banta Ye Jeewan Daan Kar Jaaye?n Tou Bhi Apna Nahi Banta Koi Apna Nahin Banta?!!!

Tumharey Rah badalney ki baat kis sey karun

Tumharey Rah badalney ki baat kis sey karun MAin apney KHaab bhikharney ki baat kis sey karun Abhi woh jaan-e-Ghazal duor hai nighahoon sey Abhi main Jaan sey Guzarney ki baatv kis sey karun ABhi toh   hijr   ki tareekiyan hain dono tafar Abhi main Chaand Nikalney ki baat kis sey karun ? Abhi toh ghammoon sey   Nidhaal   hain sabhi Abi main tery Bicharneyki baat kis sey karun ? Meri Judaii ki ghaam mein koi bhi nehi suunta Tumharey Baad sulaghney ki baat kis sey karun ? Kisey baataun k tujhy kahaan kahaan nehi dhunda Nagar nagar mein bhatakney ki baat kis sey karun ? TEri talab mein yeh beichaain ab bhi rehta hai Main apney dil k machalney ki baat kis sey karun??!!!!!