Skip to main content

Posts

Showing posts from April, 2013

Allah Allah Jamal Unka Hai

Allah Allah Jamal Unka Hai Husn, Komal Kamal Unka Hai Shehad, Badal, Surahee, Jheel, Kanwal Jo Bhi Acha Hai Maal Unka Hai Dil Men Go K Khayal Lakhon Hein Sab Se Ooncha Khayal Unka Hai Unka Ik Baal Bhi Go Mera Nahi Par Mera Baal Baal Unka Hai Aakhri Saal Mera Yeh Hoga Solhwaan Chon K Saal Unka Hai Dil, Jigar, Jan Hai Meri Unk Paas Mere Pass Ik Rumaal Unka Hai Aag Bharkata Hai Tajas’sus Ki Parda ‘Dar Parda’ Jaal Unka Hai Dosto Bin Mubaalgay K Suno Aftaab Aik Khaal Unka Hai Woh Adaon K Peer-O-Murshid Hein Muntazir Har Ghazaal Unka Hai Husn-E-Bandish Ki Ouj Seekho Qais Shehar Bhar Yar-Ghamaal Unka Hai....

Main khud zameen mera zarf asmaan ka hai

Main khud zameen mera zarf asmaan ka hai Ke toot kar bhi mera hosla chittan ka hai, Bura na maan meray Hurf-o-Lafz zehar sahi, Main kia karoon ke yehi zaiqa zubaan ka hai, Meri sanjeedgi mash'hoor hai zamanay mein, Meri khamoshi bhi pehlu meray baan ka hai, Har aik ghar pe musallat hai dil ki veerani, Tamaam shehr pe saaya meray makaan ka hai, Bichar ke us say main sirf is liy nahi bikharta, Wo keh gaya tha yehi waqt Imtehaan ka hai.

Hum log zameen kay rehnay walay

Hum log zameen kay rehnay walay Phirty rahay asmaan sambhalay, Aay mjhse khitab karny walay chehry se naqaab to hata lay, Sahir se bicharr gaye musafir Darya main hain kashtiyon k halay, Ik bheed hai dostoon ki laikin Tanhai ny bun diye hain jalay, Hum mujrim e raftaan e shab thy Tasdeeq na kar saky ujalay, Duniya tjhy chortay hain hum bhi Ja tu bhi ab apna raasta lay, Soraj hai zameen pe girnay wala Mumkin ho to saye ko bacha lay, Mushkil hai Saleem ghar basana Diwar ka kya hai jo utha lay.

Mere wajood main sachai meri maan ki hai

Mere wajood main sachai meri maan ki hai Wa garna shair ibadat to qarz e jaan ki hai, Safr main lamha e awargi bhi shart sahi Thehr gaye to alamat ye imtehaan ki hai, Samandaroon main jazeeray panah detay hain Magar ye khaak kisi arz e be amaan ki hai, Bala ka habs ragoon main utr gaya ab k Na janay zehr ghuli ye hawa kahan ki hai, Suna hai ab nahin utray ga hum pe koi azaab Zameen pe aakhri tuhmat ye asmaan ki hai, Na tu mila hai, na khud hi se nibh saki apni To phr ye umr kahan hum ne raiyegaan ki hai, Khulay dareecho main yadain saji huwi hain Saleem Bichar k usse ye surat qarar e jaan ki hai.

Mujh Se Milne Ke Wo Kerta Tha Bahane Kitne

Mujh Se Milne Ke Wo Kerta Tha Bahane Kitne.. Ab Guzare Ga Mere Saath Wo Zamane Kitne.. Main Gira Tha Toh Bohat Log Ruke The Dekhne.. Lekin Sochta Hoon Mujhe Aaye The Uthane Kitne.. Jis Tarah Main Ne Tujhe Apna Bana Rakha Hai.. Sochte Hon Ge Ye He Baat Na Jane Kitne.. Tum Naya ZaKham Lagao Tumhein Is Se Kia Hai.. Bharne Wale Hain Abhi Zakham Purane Kitne..

Yaad

Yaad Janey Kio_n Baarish Jab Bhi Hoti Hai Merey Andar Teri Yaad! Chupkey Chupkey Roti Hai.....

Uska Rukh-e-mahtab uske Haath Choom Lun

Uska Rukh-e-mahtab uske Haath Choom Lun Jo Bass CHaley to uski Harr Baat Choom Lun, Chhu jaye Uski Zulf ko Baarish ki Boond Wo Boond Kia, BAarish kia, Mousam-e-Barsaat CHoom Lun, Aa Jaye jo kbi khwb BhooL kr ager Wo khwb Kia, Neend Kia, wo Raat Choom Lun, Mujhe kuch nahi Chahiye Bus Khali Haath pe Mere Rakh de Wo Apna Haath me wo Haath Choom lun, Wo rota hUa Lag jaYe mere Seenay se kbi Mein uskey Hont kia, Uski Aankhein Kia Uski Saari Zaat Choom lun.

Kuch Umr Ki PehLi ManziL Thi

Kuch Umr Ki PehLi ManziL Thi, Kuch Rastay Thy Anjaan Bohat, Kuch Hum Bhi PagaL Thy Lekin, Kuch Woh Bhi Thy Naadan Bohat, Kuch Us ne Bhi Na Samjhaya, Yeh Piyar Nahi Aasaan Bohat, Aakhir Hum ne Bhi KhaiL Liya, Jis KhaiL Mein Tha Nuqsaan Bohat, Jab bikhar gaye tab yeh jaana, Aaty hain yahan toofan Bohat, Ab koi nahi jo apna ho, Milny ko to hain insaan Bohat, Ay "kaash" Wo wapas aa jaye, Yeh dil hy ab sunsaan Bohat...

Apni yadein apni batein le ker jana bhool gya

Apni yadein apni batein le ker jana bhool gya, Jaane wala jaldi me tha mil ker jana bhool gya; Murr murr ker dekha tha us ne jaate raste me, Jese us ne kehna tha kuch jo wo kehna bhool gya, Waqt_e_rukhsat meri ankhein ponchh raha tha anchal se, Us ko gham tha itna ziyada khud wo rona bhool gya.

mujhe kese yaqeen aaye

mujhe kese yaqeen aaye mohabbat tum bhi karte ho tumhein jab bhi kabhi dekha sada khush baash hi paaya hamesha hunste rehte ho kabhi rote nahin paaya kabhi ghamgeen nahin dekha hamesha mast rehte ho mohabbat karne walon par kabhi masti nahin chaati kabhi ronaq nahin aati na wo sarsabz hoe hain mohabbat karne wale dil hamesha zard hote hain to phir kese yaqeen karloon ke mohabbat tum bhi karte ho

Main Kehta Hon Batao Besabab Kyun Rooth Jati

Main Kehta Hon “Batao Besabab Kyun Rooth Jati Ho…?” Wo Kehti Hai “Zara Mujh Ko Manao Acha Lagta Hai…” Main Kehta Hon “Mera Dil Tum Se Aakhir Kyun Nahi Bharta…?” Wo Kehti Hai “Mohabbat Ki Koi Had Hi Nahi Hoti…” Wo Kehti Hai “Batao Main Tumhain Kyun Bhaa Gayi Itna…?” Main Kehta Hon “Meri Jaan Hadsay To Ho Hi Jate Hain…” Wo Kehti Hai “Achanak Main Tumhain Yun Hi Rulaa Doon To…?” Main Kehta Hon “Mujhe Darr Hai K Tum Bhi Bheeg Jao Gi.