Skip to main content

Posts

Showing posts from November, 2012

hamara dil savere ka sunahra jaam ho jaye

hamara dil savere ka sunahra jaam ho jaye charaGhoN ki tarah aaNkheN jaleN jab shaam ho jaye maiN Khud bhi ehtiyatan us gali se kam guzarta hooN koi masoom kyoN mere liye badnaam ho jaye ajab halaat the yooN dil ka sauda ho gaya aaKhir mohabbat ki haveli jis tarah neelaam ho jaye samandar ke safar meiN is tarah awaaz do hamko hawayeN taiz hoN aur kashtiyoN meiN shaam ho jaye mujhe maloom hai us ka Thikana phir kahaN hoga parinda aasmaaN choone meiN jab nakaam ho jaye ujaale apni yaadoN ke hamare saath rahne do na jane kis gali meiN zindagi ki shaam ho jaye

Mohabbat Hum Se Karni Hai

Mohabbat Hum Se Karni Hai To Phir Wada Nahi Karna Ye Wady Hum Ne Deky Hain K Aksar Toot Jaty Hain Mohabbat Hum Se Karni Hai To Phir zid Bi Nahi Karni Ye Zid Bi Hum Ne Deki Hai K Saathi Choot Jaty Hain Mohabbat Hum Se Karni Hai To Phir Tohfa Nahi Dena Ye Tohfy Hum Ne Deky Hain Bahut majboor Karty Hain Mohabbat Hum Se Karni Hai To Phir Shikwa Nahi Karna Ye Shikwy Hum Ne Deky Hain DiLon Ko Door Karty hain.

Jhooti Tasaliyon Ki Zarurat Nahi Mujhe

Jhooti Tasaliyon Ki Zarurat Nahi Mujhe, Keh Do Kisi K Pyar se Fursat Nahi Mujhe, Ye Bhi Nahi K Main Tumhein Ilzaam De Sakun, ye Bhi Nahi K Tum Se Shikayat Nahi Mujhe,  Main Bhi Tumhari Yaad Ko Dil Se Bhula To Doon, Per Kya Karun K Dil Ki Ijazat Nahi Mujhe.

Mujhe khud se hain shikayatein, mujhe zindagi se gila nahin

Mujhe khud se hain shikayatein, mujhe zindagi se gila nahin Ke jo chaaha maine woh paa liya, nahin aisa kuch jo mila nahin Mere aas paas hai roshni, mere raaston main chiragh hain Yeh tere karam ka hai mojza, meri justuju ka sila nahin Teri aankh se jo haseen ho, woh nigaah jag main bani nahin Tere rukh ko jis se misaal doon, koi aisa phool khila nahin Yeh jo teri zulf ka hai haashiya, yeh jo tera chehra khushnuma Koi raat aisi siyaah nahin, kisi subah main yeh jilaa nahin Yeh jo mehr-o-maa ki hain halatein, yeh jo aayinon ki hain heratein Hain azzal se yeh isi tarah, koi apni jaa se hilaa nahin

Juda taare se taara ho gaya na

Juda taare se taara ho gaya na Bicharne ka ishaara ho gaya na Sikhaya tha jisey dunya main jeena Wohi duniya ko pyaara ho gaya na Kaha bhi tha mohabbat tum na karna Khasaara hi khasaara ho gaya na Bohat hi door apni pohanch se Rafaqat ka kinaara ho gaya na Jo jaan se pyaara kabhi tha Wohi dushman hamara ho gaya na

Mien janta tha

Mien janta tha, Wafaa Ka Ajar Nahi Hota Muhabaton Main Sabar Ka Samar Nahi Hota Mien janta tha, Muhabat Dukhon Ka Sehraa Hay Jehan Serab Si Khushyan Hain Aur Azaab Say Ghum Jehan Hay Pyaas Judaai Ki Betahasha Magar Milan Ki Barishain Hoti Hain Jis Dyar Main Kam Mien janta tha, Muhabat Khiraj Mangti Hay Woh Jis Ko Dil Ka Lahoo Day Kay Jagmagaya ho Andheri Rah Kay Lya Woh Chiragh Mangti Hay Mien janta tha, Muhabat Woh Rehguzar Hay Jehan Bichay Hain Kaanch Judai Kay Beshumar magar Brehna-pa hi Inhain Paar Kerna Perta Hay Ghamoon Ki Dhoop Main Jab Saibaan Koi Na Ho Kisi Ki Yaad Ki Chader Ko Taan Ker Khud Per Tamam Aahain Daba Ker Guzerna Perta Hay Mien janta tha, Wafa Ka Ajar Nahi Hota Muhabaton Main Saber Ka Samer Nahi Hota Hijer Ki Rah Main Hoti Hay Betahashah ghutan Wehan Kebhi Bhi hawa Ka Guzer Nahi Hota Mien janta tha, Magar Phir Bhi Roag Le Betha Kisi Kay Pyar Main Janay Kun Joag Le Betha Mien janta tha, Magr Phir Bhi..

Kahin par aasmaa'n bhi sar jhuka ke !!

Kahin par aasmaa'n bhi sar jhuka ke !! bulaata hai zamii'n ko muskura ke !! guzartay waqt se aankheinmilaa ke !! bujhay ham bhi magar shammein jalaa ke !! usii ne fir mujhay apna kaha hai !! bhulaa daita hai jo apna banaa ke!! charaago'n ki himaayat kar raha hain !! raha hai sath jo aksar hawaa ke !! sitaaro'n mein unhay ham dhoondhtay hain !! gaye duniya se jo daaman chhuraa ke !! kabhi kahtay hain dharti ko maa bhi !! kabhi hotay hain khush qeemat lagaa ke...  

Merey sabar ka na ley Imtehaan

Merey sabar ka na ley Imtehaan Meri khaamoshi ko sada na dey Jo terey baghair na jee sakey Usey jeeney ki to duaa na dey Tu azeez Dil-o-nazar sey hai Tu qareeb Rag-o-jaan sey hai Merey Jissm-o-jaan ka yeh faisla Kaheen waqat aur barha na dey Tujhe bool ke bhi na bulaa sakoon Tujhe chah ke bhi na pa sakoon Meri hasraton ko shumaar kar Meri chahaton ka silaa na dey Wo tarap jo shula-e-jaan mein thi Merey tan badan sey lypat gaye Jo bujha sakey to buja isey Na bujha sakey to hawa na dey Tujhe agar milein kabhi fursatein Meri shaam phir sey sanwaar dey Agar qatal karna hai to qatal kar Yoon judayioon ki saza na dey

Meray Dil Mai Utro Zara Zara

Meray Dil Mai Utro Zara Zara, Mujhay Holay Holay to Pyar Do, Meri Tishnagi ko Barhaao Phir, Meri Bey-Kali ko Qaraar Do, Mujhay Harf Harf Samait Lo, Muje Lafz Lafz Shumaar Do, Jo Umar Bhar na Utar Sakey, Meri Rooh ko Khud Mai Utar Lo, Aao Pyar k Is Khail Mai, Tum Jeet Jao Mujhe Haar Do

Ek bar suno kuch aisa hua

Ek bar suno kuch aisa hua.. Wo mujhko mili Me us ko mila... Izhar hua Iqrar hua Wo chahne lagi Main chahne laga usey PYAR bht Mujhe PYAR bht PHIR kuch yun hua.. Wo chor gayi Main toot gaya PHIR kuch yun mile.. Wo tanha thi Main akela tha Bas hum do the Or koi na tha Wo rone lagi Main bebas raha Na PYAR na hi Izhar raha.. Bas Farq sirf itna sa raha Wo MITTI k upar roti rhi Main MITTI k ander sota raha

Aaya na hoga iss tarha, husn o shabab rait per

Aaya na hoga iss tarha, husn o shabab rait per Gulshanay Fatima kay thay, saray gulaab rait per. Janay Batool kay siwa, koi nahin khila saka Qatra e aab kay bagheir, itnay ghulaab reet per. Jitnay sawal ishq nay, aal e Rasool say kiye Eik kay baad aik diye, sarey jawab reit per. Pyaasa Hussain ko kahoon, itna to bay adab nahin Lam say labe Hussain ko, tarsa hai aab reet par. Ishq main kiya bachaiye, ishq mein kiya lutaiye Ale Nabi nay likh diya. sara nissab reat par. Ale Nabi ka kaam tha, ale Nabi hi ker gaye Koi na likh saka adeeb aisi kitaab reit par. Gulshan e Fatima kay they, saray gulab reat par.

Sardiyon k mosam me

Sardiyon k mosam me, yad ki zameenon pe, itni dhool urti hai, ankh k kinaron pe, saray khush-numa manzar, ...dhundla se jatay hain, kuch nazer nhi aata, aas k darechon se, na muradiyon ki bail, is trah lipat'ti hai jesy subh ka bhoola, rat dobnay tak bhi apne ghar nhi aata, sardiyon k mosam me, door ki musafat pr, janay wala koi bhi, laut kr nhi aata, khoob gunguna bhi lo, khul k muskura bhi lo, chain magr nhi aata, sardiyon k mosam me, be'sbab hi ankhon me, kuch nami si rehti hai, zindagi mukamal ho, phir bhi zat me jesy, kuch kami si rehti hai, sardiyon k mosam me..!!

Toote hue dilon ki…Duaa mere saath hai

Toote hue dilon ki…Duaa mere saath hai, Duniya teri taraf hai…Khuda mere saath hai. Awaaz ghunghrooON ki…Nahin hai to kya hua Saagar ke tootne ki…Sadaa mere saath hai Tanhai kisko kehte hain…Mujhko pata nahin Kya jaane kis hasin ki…Duaa mere saath hai Paimana saamne hai to…Kuch gum nahin Nizaam Ab dard-e-dil ki koi…Dava mere saath hai Duniya teri taraf hai…Khuda mere saath hai Toote hue dilon ki…Duaa mere saath hai

Mere qatil ko pukaro k main zindha hoon abi

Mere qatil ko pukaro k main zindha hoon abi Phir se maqtil ko sanwaroo k main zindha hoon abi Ye sab-e- hijar to sahti hai mera barsoo se Jao so jao sitaroo k main zindha hoon abi Ye pareshan se gesso nahi dekhy jetty Appni zulfoo ko sanwaro k main zindha hoon abi Lakh mojoo main ghira hoon abi doba to nahi Muj ko sahil se pokaroo k main zindha hoon abi Kabar se ajj bi mohsin ki atti hai sada Tu kahan hoo mery yaroo k main zindha hoon abi.

Meri roshni ki faseel bi teri chahton ki nazzar hui

Meri roshni ki faseel bi teri chahton ki nazzar hui   Na hi darr khula na hi ghar gaya na jally diay na sehar hui   Mere zehn-o-dil k ghubaar main hai yahi sawaal likha hua  Wo to aashna-e-hujoom tha use kiun na meri khabar hui   Main tumhen sunaaon ga lout kr kbi ujarhne ki kahanian   Koi boond aab-e-hayaat ki meri zindagi main agar hui   Wo jo tere or mere darmyan koi raaz tha,koi baat thi   Hui khallq us se kiun aashna wo jahan main kaise nashar hui   Tere aastan se ghulaam tk Meri subh se meri shaam tk Mera ishq tha jo sadda bna teri yaad thi jo Amer hui

Ham Sard Hawa kay Baasi hain

This poem is written by Mariam Tanveer,  Daughter of Lt Col Tanveer Shaheed (Commanding officer 6 NLI - Gayari Sector) Ham Sard Hawa kay Baasi hain..... Ham " SHAHEED" Bhi hain HAM "GHAZI" bhi ..... Ham Chorr Gaye ,Dam tor gaye ...... Ham Barf ki Chadar orh gaye...... Ham Betay Baap aur Bhai bhi..... Ham Munna ,Uncle aur Mahi bhi..... Ham Colonel Captain Major bhi.... Ham Havaldar Nike Sepai bhi...... Ham Baba ki Ankh kay taaray bhi... Ham Maa kay Laajh Dularay bhi..... Ham Door b hain ,Majboor bhi hain ..... Sansain Ruki Ruki si ,Zakhmon Say Chur b hain...... Jab barf say Uthayen Jayengay ..... Ham Jald hi Lot kay ayengay .... Pakistan Zindabad ♥ Pakistan Army Paindabad.

Apni Rehmat k khazany sy ata kr MALIK!!

Apni Rehmat k khazany sy ata kr MALIK!! Khawab oqaat mn reh kr nahi daikhy jaty..!!

Rafaqatoun nay diay hain mujh ko adawatoun kay, ataab sarey

Rafaqatoun nay diay hain mujh ko adawatoun kay, ataab sarey Merey hi dil par hoay hain nazil, mohabbatoun kay azaab sarey Khushi ki mehfil na raas aae, hazar chaha kay muskurain Tapish say ghum ki jhulas gaey hain, shaguftagee ka gulab sarey Yahi hay tadber-e-husn-e-gulshan, eywaz guloun key miley hain kantey Ajeeb qismat ka hay karishma, gunha baney hain sawab sarey Gharor say sar utha rahay they, wo jushan-e-hasti mana rahay they Hawa nay kheencha jab apna daman hawa hoay phir habaab sarey Wo khushboon ka libaas pehney, mila kuch aisay kay aik pal main Parey haoy they jo jisim-o-jaan par, uttar gaey wo naqaab sarey Sawal sada sa zindagi say, kiya tha hum nay bhi aik SARWAT Wo pathron ki hoi hay barish kay mil gaey hain jawab sarey

Us ki chahat ka sila yad nahi

Us ki chahat ka sila yad nahi.. Yaad hai juram,saza yaad nahi.. Torr” kar humsafari ka rishta.. Wo kahan chor gaye yaad nahi.. Apne girnay ka sababyaad to hai.. Kis blundi se “gira” yaad nahi.. Yaad hai us kabicharna hum ko.. Phir humain jo bhi mila yaad nahi.!

dard ho dil main to dawa keejay

dard ho dil main to dawa keejay dil hi jab dard ho to kiya keejay hum ko faryaad karni aati hai aap suntay nahi to kiya keejay in butoon ko khuda say kiya matlab tauba tauba , khuda khuda , keejay ranj uthanay say bhi khushi ho gi pahlay dil dard aashna keejay arz -e- shookhi , nishat -e- alam hai husn ko aur khud numa keejay dushmani ho chuki ba qadr wafa ab haq -e- dosti ada keejay maut aati nahi kaheen Ghalib kab tak afsoos zeest ka keejay

Bharkain meri pyas ko aksar teri aankhein

Bharkain meri pyas ko aksar teri aankhein Sehra mera chehra hai, Samandar teri aankhein Phir koun bhala Daad-e-Tabassum unhein dega Royein gi bohat mujhse bichar kar teri aankhein Bojhal nazar aati hai bazahir mujhe lekin khulti hain bohat dil mein utar kar teri aankhein Ab tak meri yadoon se mitaye nahi mitta Bheegi huwi ik shaam ka manzar teri aankhein Mumkin ho to ik taza ghazal aur bhi kehloon phir orh na lein khuwab ki chadar teri aankhein Yoon dekhte rehna use acha nahi mohsin^ Wo kaanch ka paikar hai aur pathar teri aankhein

humen Khabar hAi hum Ehal e Dil Ka muhabbaton Men Yeh Haal ho ga

humen Khabar hAi hum Ehal e Dil Ka muhabbaton Men Yeh Haal ho ga Bahaar Men Bhi Wo Habs ho ga Keh Saans Laina Muhaal ho ga NaQoosh dhundla Gaye hAin Jis Kay, Khayaal Jis Ka dhuwaan dhuwaan hAi woh Zard Patton Kay koray Kaghaz Pey Likhii koii Misaal ho ga Jo Naaptey hain musafaton Ko Lateef Jazbon Kii Shiddaten hain Kahin Saddii Sa'aton Kii Had Men Kahin Pey Lamha Bhi Saal ho ga mujhey hai Syaad Sey woh Nisbat Keh mUjh Ko Manzoor hai Aseerii Qafas Kii Aaghosh Sey Jo Nikla To Wus'aton Ka Wabaal ho ga tumharey Lehjay Ki Talkhiyon Ko bhUlla Kay Eik Bar Mil To loon Mein Magar Ho Itna Yaqeen mUjh Ko Bichar Kay tum Ko Malaal ho g

Us ne phir mera haal poocha hai

Us ne phir mera haal poocha hai Kitna mushkil sawaal pooocha hai Hichkiyon ka ajeeb lehja tha Baat ko taal taal kar poocha hai Tum mujay chor to na jao gay? Wastey daal daal poocha hai Ansuyon ki zubaan mein Jitna poocha kamaal poocha hai Kia khabi mil sakangy hum dono, Mujh se mera khayal poocha hai Din guzarta hai kis tarah mera Kese guzrey ga saal poocha hai    

mere wajood ki jageer usne mangi hai

mere wajood ki jageer usne mangi hai, ajeb khawabo ki tabeer us ne mangi hai, us ki qaid main rehti hon pehle bhi, na janay phir keun us ne zanjeer mangi hai, guman hota hai wo bhool sakta hai mujhe, keun k aaj us ne meri tasveer mangi hai, mere khuda mujhe us k naseeb main lekh de, k mujh se merie taqdeer us ne mangi hai  

teri dua se qaza to badal nhi skti

Mujhe duaon mein yaad rakhna

Mujhe duaon mein yaad rakhna, Main wo musafir hon , Jis ka rasta bohat kathin hai, Mera asasa hi dosti hai, Ye ghup andheron mein roshni hai, Ye kaali raaton mein chandni hai, Isi sahary guzar rahay hain , Ye zindagi ke haseen lamhe , Ye meri izzat,ye meri shohrat, Hai doston ki DUA ka hasil, Mujhe DUAON ka aasra hai, Meri bas itni si iltija hai, Meri khataon ko mauf krna, Meri wafaon ki laaj rakhna, Mujhe duaon mein yaad rakhna, Mujhe DUAON mein yaad rakhna

Mohabat rog hai jaana

Mohabat rog hai jaana Ajab sanjog hai jaana Yeh kese jog hai jaana Baray borhay batatey thy kaien qisey sunatey thy Magar ham mantey kab thy Yeh sab kuch jantey kab thy Yeh batein zikar k qabil Bhala gardantein kab thy Ana k takhat per baithey Hamein maloom hi kab tha Ana k takhat se oopar Bohat sari bulandi par Kahein paryoon ke jhurmat main Tere peiroon ki payal main Tere chotey se gaoun main Ghani zulfoon ki chaoun main Sitare chand sooraj Walehana raqas kartein hain Hamein maloom hi kab tha Terey qadmoon ki aahat per Gulabi muskurahat par Tere hontoon ki jumbish par Ter e sar k isharey par Sada-e-dilbrana par Nigah-e-qatlana par Jafa-e-mehermana par Ada-e-kafrana par Chaman ke phool sarey Is tarha se dhayan detein hain Zara se wasal ke jhansey main Apni jaan detein hain Hamein kab ilm tha jana Tere pekar se dhul kar Chandni har so bikharti hai Shab-e-wisal ki doshizgi Kaisy nikharti hai Teri payal ki chan chan Man main kia ghanti bajati hai

Gulshan Ki Baharon Pay Sar-e-Shaam Likha Hai

Gulshan Ki Baharon Pay Sar-e-Shaam Likha Hai, Phir Us Nay Kitabon Pay Mera Naam Likha Hai, Yeh Dard Musalsal Meri Duniya Main Rahega, Kuch Soch K Us Nay Mera Anjaam Likha Hai, Jis Nay Meri Janib Kabhi Mur Kar Nahi Dekha, Us Shakhs K Hathon Pay Mera Naam Likha Hai

Husan ko lajawab hona tha

Aaj youn mosam ne di jashan-e-mohabbat ki khaber

Aaj youn mosam ne di jashan-e-mohabbat ki khaber Phoot phoot k ronay lagay hain, main mohabbat aur tum Hum ne joon hi ker liya mehsoos manzil hai qareeb Raastay khonay lagay hain, main mohabbat aur tum Chaand ki kirnon ne hum ko iss terha bosa diya Devta hone lagay hain, main mohabbat aur tum Aaj phir mehroomiyon ki daastanain oarh ker Khuwab main sonay lagay hain, main mohabbat aur tum Kho gae awaz bhi , andaaz bhi , alfaaz bhi Khamoshi dhoondne lagay hain, main mohabbat aur tum

Baad muddat usse dekha logo

Baad muddat usse dekha, logo Wo zarra bhi nahi badla, logo Khush na tha mujh se bicharr ker Uss kay chehrey per likha tha, logo Uss ki ankhien bhi kehe deti thien Raat bhar wo bhi na soyaa, logo Ajnabi bann kay jo guzzra hai abhi Tha kissi waqt mein apnaa, logo Dost tou khair koi kiss ka hai Uss ne dushman bhi na samjha, logo Raat wo dard meray dil mein uthaa Subah tak chain na ayaa, logo Piyaas sehraon ki phir teez hui Abbr phir toot ker barsaa, logo

hathelion ki duaa phool lekar aye hoo

hathelion ki duaa phool lekar aye hoo khabhi tu rang mere hath ka hinae ho! Koi tu ho jo mere tan ko Roshni bheje Kisi ka pyar hawa mere nam laye ho! Gulabi paoun mere chamchaye banane ko Kisi ne sehan mai Mehandim ki barr ugaye ho! Khabhi tu ho mere kamre mai aisa manzar bhi Bahar dekh k khirki se Muskuraye ho! Wo soote jagte rehne ka mausumoo ka fasoo k neend mai hoo or neend bhi na aye ho!!!

Andheri raat men shama jalana bhul jate ho

Andheri raat men shama jalana bhul jate ho Hamari yaad aati hai bhulana bhul jate ho hamen maloom hota hai hamaray qurb men aa kar jo tanhai men beeti hai batana bhul jate ho tumhari ik yehi aadat pareshan hum ko rakhti hai nazar men aa tou jatey ho samana bhul jate ho tumhare hath men aksar gulaabi phool dekhy han hamri rah men aksar bichana bhul jate ho tumhen to loat janey ki hi aksar fiker rahti hai Mgr jab loat jatey ho to aana bhul jate ho suna hai tum hatheli per hamara naam likhte ho mgr jab hum se milty ho dikhana bhul jate ho

Suno Tum Maan Jao Na

Suno Tum Maan Jao Na Hamay Ab Yun Satao Na Tumharay Bin Hamay Jena Gawara Ab Nahi Hota Tumhay Kaisay Kahun Tum Bin Guzara Ab Nahi Hota Hamay Apna Bana Lo Tum Tumhara Ban K Rehna Hai Mujhe Dukh Hijar Ka Janum Nahi Ab Or Sehna Hai Kayi Sapnay Sajaey Hain Ab In Me Rang Bhar Do Na Tumhay Meri Kasam Jannah Tum Meray Sang Chal Do Na Mujhay Ab Aur Rulao Na Suno Tum Maan Jao Na

Dukh dard k maron se mera zikar na karna

Dukh dard k maron se mera zikar na karna Ghar jao to yaron se mera zikar na karna Wo zabat na kar paen gi ankhon k samandar Tum raah guzaron se mera zikar na karna Pholon k nasheman me raha hon me sada se Daiko kabhi kharon se mera zikar na karna Shaid ye andhaire hi mujhe raah dikhaen Abb chand sitaron se mera zikar na karna Wo meri kahani ko ghalat rang na de dain Afsana nigaron semera zikar na karna Shaid wo mere haal pe be- sakhata roo dain Iss bar baharon se mera zikar na karna Le jaen ge gehrai me tum ko bhi baha kar Darya k kinaron se mera zikar na karna Wo shakhs mile to use har bat batana Tum sirf isharon se mera zikar na karna

Aastino mein naag paale hain

Aastino mein naag paale hain Loog bemaut marne waale hain Raunke jism e sar ba sajda thi Us haveli mein aaj jaale hain Haddiyan choos lenge dunya ki Woh zamane ne kutte paale hai, zakhm bakhshe hai usko phoolo ne Jisne pathar nichaur daale hain Har parinde ki rooh larza hai Aise phande soonahre daale hain Sheesh mahloon ki aaj khair nahi Waqt ne sang woh uchaale hain Sach ko jhootla diya tha jisne Aaj uski zubaan mein chaale hain Unko koi samajh nahi sakta Unke andaaz hi niraale hain Jo bhi qatil hamare hain Phool se chehre bhole bhaale hain

Ye ankh ronay ki shidat se lal thori e ha

Ye ankh ronay ki shidat se lal thori e ha Malal ha mager itna malal thori ha, bs apny wasty hi fikr mand hain sab log, yahan kisi ko kisi ka khayal thori ha, paroon ko kat dia ha uraan se pehl, ye khaouf e hijr ha, shaouq e wisal thori ha, maza to tab ha jo har k bhi hansty raho, hamesha jeet hi jana kamal thori ha

Usay Poojne Ki Hai Aarzu

Usay Poojne Ki Hai Aarzu Jise Chahna B Muhaal Hai Wo Meri Duaon Mein Bas Gya Jise Mangna B Muhaal Hai Teri Baat Krti Hai Khamoshi Teri Raah Takti Hai Raah B Meri Zindgi Ka Tu Khwab Hai Jise Bhoolna B Muhaal Hai Kbi Weham, Kbi Waswasy Kbi Khwab Aur Kbhi Ratjage Meri Neend Hony Lagi Saza Mera Jagna B Muhaal Hai.

Guzray Huay Taweel Zamanay Kay Baad Bhi

Guzray Huay Taweel Zamanay Kay Baad Bhi Dil Main Raha Woh Choor Kay Janay Kay Baad Bhi Pehlu Main Reh Kay Dil Nay Dia Hai Bohat Faraib Rakha Hai Us Ko Yaad Bhulanay Kay Baad Bhi Qurbat Kay Baad Aur Bhi Qurbat Ki Talash Dil Mutmain Nahin Hai Teray Aanay Kay Baad Bhi Go Tu Yahan Nahin Hai Mager Tu Yahein Pay Hai Tera Hi Zikar Hai Teray Janay Kay Baad Bhi Lagta Hai Kuch Kaha Hi Nahin Hai Ussay Adeem Dil Ka Tamam Haal Sunanay Kay Baad Bhi

Youn hi sochta hoon main aksar

Youn hi sochta hoon main aksar Tujhey kis tarhaan saza doun main Teri arzoo karun aur phir tera khayal tak bhulla doun main Tujh ko khuwaboun main apney bula kar apni raatein sabhi jala doun main Teri manzil ko guloun sey saja kar rah main kaantey bicha doun main Ya teri zeest ka har ik pehloo bhooli hui dastaan bana doun main Tu jo chahey ussey main pa loun tu jo paa ley ussey mita doun main Ya tujhey iss tarhaan sey chahoun key tujh ko teri nazroun main hi gira doun main

Silsila Sa Janaab ! Banta Gaya

Silsila Sa Janaab ! Banta Gaya Ik Haqeeqat Wo Khwaab Banta Gaya Aks Paani Mein Dekhnay Ke Lye Kaisay Chehra Gulaab Banta Gaya Ham Ne Koi Sawaal Tak Na Kia Wo Mukammal Jawaab Banta Gaya Pehlay Unwaan Tha Wafa Ka Jo Shakhs Baad Mein Wo Kitaab Banta Gaya Neend Ka Tootna Bhee Apni Jaga Khwaab Bhee Ek Azaab Banta Gaya Dekhnay Mein Tha Ek Lafz Magar Ishq Poora Nisaab Banta Gaya Ham Haqeeqat Samajh Rahay Thay Jisay Rafta Rafta Saraab Banta Gaya Saaray Aalam Mein Ham Howay Tanha Sab Ka Wo Intekhaab Banta Gaya Pehlay Dil Torna Bura Tha Batool Baad Mein Ye Sawaab Banta Gaya

Ajeeb Dhang Se Maine Yahan Guzara Kiya

Ajeeb Dhang Se Maine Yahan Guzara Kiya K Dil Ko Barf Kiya Zehn Ko Sahara Kya Mazaaj e Dard Ko Sab Lafz Bi Qubo0l Na Thay Kisi Kisi ko Tere Gham Ka Ishara Kya Phr Us K Ashk Bi Uss Ko Adaa Na Kar Paaye Wo Dukh Jo Us K Tabassum Ne Aashkhara Kya K Jaise Aankh K Lagte Hi Khul Gai Ankhen Nigaah e Jaan Ne Boht Do0r Tak Nazara Kiya Hamen Bi Daikh K Tajseen E Nau se Guzre Hain Badan Ko Sheesha Kiya Dil Ko Sang Paara Kiya Ajab Mizaaj tha Tanhai Aashna Ka Saud Khud Apna Sath Bi Muskhil Se Hi Gavara Kya

Paida rah-e-khaloos main dushwarian na kar

Paida rah-e-khaloos main dushwarian na kar Chahat nahi tou hum se adakaarian na kar Lafzon se khalne ki zaroorat nahi tujhe sada dilon ke saath yeh fan.kaarian na kar Jin Se nahi lagao unhain munh bhi mat laga Be waja har dukan se kharidaarian na kar Tu shakh-e-gul hai koi amar bail tu nahi Wabasta har shajar se wafadaarian na kar Iss bheer se pare bhi hai abad khalq-e-shair Apne hi doston ki taraf darian na kar Iss shugal-e-bejawaz se kya faida tujhe Dil mat dukha kisi ki dil aazaarian na kar Taza hai dil pe dagh agar pehli choat ka Phir dosri shikast ki tayyarian na kar

Hasrat bharri nighahon ko aaram tak nahi

Hasrat bharri nighahon ko aaram tak nahi Palti woh zindagani key shaam tak nahi Jis key tal'lab mai zindagi apni guzar di Os bewafa k lab per mera nam tak nahi Wo jo keh k geay thay shaam ko beathen gay aaj phir Kai saal ho gai hain koi pegham tak nahi Madfoon hoon teray hijjar ke ek aesi qabar mai Kutbey per jeskey ajj koi nam tak nahi Bey ikhteyar uthay hain meray qaddum udher Halan k os gali mai muje kam tak nahi

Azaab-E-Deed Mein Ankhen Lahu Lahu Kar K

Azaab-E-Deed Mein Ankhen Lahu Lahu Kar K, Main Sharamsaar Hua Teri Justaju Kar K, Suna Hai Shehr Mein Zakhmi Dilon Ka Maila Hai, Chalen Ge Hum Bhi Mgr Pairahan Rafu Kar K, Musafat-E-Shab-E-Hijraan K Bad Bhaid Khula, Hawa Dukhi Hai Charaghon Ki Aabru Kar K, Ujaar Rut Ko Gulabi Banaye Rakhti Hai,  Hamari Aankh Teri Deed Se Wazu Kar Kay Ye Kis Ne Hum Se Lahu Ka Khiraaj Phir Manga, Abhi To Soye The Maqtal Ko Surkhuru Kar K,

Sach Kahoon Mujh Ko Yeh Unwaan Bura Lagta Hai

Sach Kahoon Mujh Ko Yeh Unwaan Bura Lagta Hai Zulm Sehta Hua Insaan Bura Lagta hai Kis Qadar Hau Gayi Masroof Yeh Duniya Apni Aik DIn Thehray Tau Mehmaan Bura Lagta Hai Un ki Khidmat tau Bohat Door, Baiton Baitiyoun ko Boorrhay Maan Baap Ka Farman Bura Lagta Hai Meray ALLAH Meri Nasloun Ko Zillat Say Nikaal Haath Phailaaye Hua Musalmaan Bura Lagta Hai