Skip to main content

Aastino mein naag paale hain

Aastino mein naag paale hain
Loog bemaut marne waale hain


Raunke jism e sar ba sajda thi
Us haveli mein aaj jaale hain


Haddiyan choos lenge dunya ki
Woh zamane ne kutte paale hai,


zakhm bakhshe hai usko phoolo ne
Jisne pathar nichaur daale hain


Har parinde ki rooh larza hai
Aise phande soonahre daale hain


Sheesh mahloon ki aaj khair nahi
Waqt ne sang woh uchaale hain


Sach ko jhootla diya tha jisne
Aaj uski zubaan mein chaale hain


Unko koi samajh nahi sakta
Unke andaaz hi niraale hain


Jo bhi qatil hamare hain
Phool se chehre bhole bhaale hain

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother