Skip to main content

Posts

Showing posts from January, 2013

In Faslon Ki Fikar Mein Q Karon Bhala

In Faslon Ki Fikar Mein Q Karon Bhala Bhoot Door Reh Kar Bhi Mere Pass Hai Koi In Soch Mein Dooba Hai Bhot Dair Se Mera Dil Kya Us K Dil Me Bhi Aisa Ehsas Hai Koi Uski Nazron Se Hai Bana Meri Sanson Ka Tasalsul Is Tarha Meri Zindagi Ki Aas Hai Koi Us Ka Jo Pocha Hai To Bus Itna Jan Lo Bhoot Khaas, Bhoot Khaas, Bhoot Khaas Hai Koi Bad-E-Saba Ja Rahi Ho To Ye Bhi Usey Khena Us'k Bina Is Sher Main Bhoot Udaas Hai Koi 

Talism-e-Ishq tha sub,Us k sath Hony tak

Talism-e-Ishq tha sub, Us k sath Hony tak. Khayal-e-Dard Na aaya Nijaat Honay Tak - Mila tha Hijar k Rastay mein subha ki Manind Bichar gaya tha musafir se raat Hony Tak - Ajeeb Rang Badalti Hy us ki Nagri Bhi. Har ek Nehr ko Dekha Faraat Hony Tak - Wo Iss kamaal se khela tha Ishq ki Baazi Main Apni Jeet samajhta tha maat Honay Tak Me usko Bhoolna chahu to kiya Karon - Wo mujh me zinda Hy khud meri zaat Hony Tak..!!

Muhabbat khud batati hai

Muhabbat khud batati hai Kahan kis ka thikana Hai Kisay aankhon main Rakhna hai Kisay dil main basana Hai Reha karma hai kisko Aur Kisay zanjeer karna Hai Mitana hai kisay dil Say Kisay tehreer karna Hai Issay malom hota Hai Safar dushwar kitna Hai Kisi ki chasm-e-girya Main Chupa iqrar kitna Hai Shajar jo girnay wala Hai Wo saya daar kitna Hai Mohabbat khud batati Hai Kahan kis ka thikana Hai..!!

Kuch To Ehsaas-e-Ziyaan Tha Pehle

Kuch To Ehsaas-e-Ziyaan Tha Pehle Dil Ka Yeh Haal kahaan Tha Pehle, Ab To Manzil Bhi Hai Khud Garm-e-Safar Har Qadam Sang-e-Nishaan Tha Pehle, Safar-e-Shaoq K Far_Sang Na Pooch Waqt Beqaid-e-Makaan Tha Pehle, Yeh Alag Baat K Gham Raas Hai Ab Is Mein Andeshaa-e-Jaan Tha Pehle, Yoon Na Ghabraaye Howe Pherte The Dil Ajab kunj-e-Aamaan Tha Pehle, Ab Bhi Tu Paas Nahi Hai Lekin Is Qadar Door kahaan Tha Pehle, Dere Daale Hain Bagolon Ne Jahaan Us Taraf Chashm-e-Rawaan Tha Pehle, Ab Woh Dariyaa Na Basti Na Woh Log kiya Khabar kon kahaan Tha Pehle, Har Kharaba Yeh Sadaa Detaa Hai Main Bhi Aabaad Makaan Tha Pehle, kiya Se kiyaa Ho Gai Duniyaa Piyaare Tu Waheen Par Hai Jahaan Tha Pehle, Hum Ne Abaad kiyaa Mulk-e-SuKhan kaisa SunSaan Samaan Tha Pehle, Hum Ne BaKhshi Hai Khamoshi ko Zubaan Dard Majboor-e-Fughaan Tha Pehle, Hum Ne Roshan kiyaa Maamoor-e-Gham Warnaa Har Simt Dhuwaan Tha Pehle, Gham Ne Pher Dil ko Jagaayaa Nasir Khaanaa-Barbaad kahaan Tha Pehle.

Garmi-E-Hasrat-E-Nakaam Say Jal Jatay Hain

Garmi-E-Hasrat-E-Nakaam Say Jal Jatay Hain Hum Charaaghon Ki Tarha Shaam Say Jal Jaatey Hain, Bach Nikaltey Hain Agar Aatish-e-Sayyad Say Hum Sholaa-e-Aatish-e-Gulfaam Say Jal Jaatey Hain, Khud_Numaai To Nahi Shewa-e-Arbaab-e-Wafa Jin Ko Jalna Ho Wo Aaraam Say Jal Jaatey Hain, Shamma Jis Aag Mein Jalti Hai Numaish Kay Liye Hum Usi Aag Mein Gum_Naam Say Jal Jaatey Hain, Jab Bhi Aata Hai Tera Naam Meray Naam Kay Saath Jaaney Kiyon Log Meray Naam Say Jal Jaatey Hain, Rabt-e-Baaham Pay Humein Kiya Na Kahein Gay Dushman Aashnaa Jab Teray Paighaam Say Jal Jaatey Hain.

Maar Hi Daal Mujhe Chasm-E-Adaa Sey Pehlay

Maar Hi Daal Mujhe Chasm-E-Adaa Sey Pehlay Apni Manzil Ko Pohunch Jaon Qaza Sey Pehlay, Ik Nazar Dekh Loon Aa Jaao Qaza Se Pehlay Tum Sey Milney Ki Tamanna Hai Khuda Sey Pehlay, Hashr K Roz Main Poochoon Ga Khuda Sey Pehlay Tu Ney Roka Nahi Kiyun Mujh Ko Khata Sey Pehlay, Ay Meri Mout Thahar Un Ko Zara Aaney Dey Zahar Ka Jaam Na Dey Mujh Ko Dawa Sey Pehley, Haath Pohnchey Bhi Na Thay Zulf Dota Tak "Momin" Hathkarri Daal Di Zaalim Ney Khata Sey Pehlay.

Kiya andheron k dukh,kiya ujaalon k dukh

Kiya andheron k dukh,kiya ujaalon k dukh Jab hara dain muqaddar ki chaalon k dukh Jin ki aankhein nahin woh na royein kabhi Jaan jaayein agar aankh waalon k dukh Meri manzil kahan,humsafar hai kidhar  Maar daalain gay ab in sawaalon k dukh Tum milay ho tumhari muhabbat nahin  Hijr se barrh gaye hain wisaalon k dukh Dau ghharri k liye paas baitho agar Bhool jaayein hum kitnay saalon k dukh Meri sochon k jaltay huay dasht se Chheen lay aa k apnay khayyaalon k dukh

Ye Ab Khula Hai K Koi Bhi Manzar Mera Na Tha

Ye Ab Khula Hai K Koi Bhi Manzar Mera Na Tha Main Jis Mein Rah Raha Tha Wahi Ghar Mera Na Tha Main Jis Ko Ek Umr Sambhale Phira Kiya Mitti Bata Rahi Wo Paikar Mera Na Tha Mauj-E-Hawa-E-Shahar-E-Muqaddar Jawab De Dariya Mere Na The K Samandar Mera Na Tha Phir Bhi To Sangsar Kiya Ja Raha Hun Main Kahte Hain Nam Tak Sar-E-Mahzar Mera Na Tha Sab Log Apne Apne Qabilon K Sath The Ek Main Hi Tha K Koi Bhi Lashkar Mera Na Tha...

chandni raat k hathon pay sawar utri hai

chandni raat k hathon pay sawar utri hai koi khushboo meri delhiz k paar utri hai @};- is main kuch rang bhi hain khuwab bhi mehkar bhi hai jhilmilati hui khawish bhi inkaar bhi hai @};- isi khushboo main kayi dard bhi afsanay bhi isi khushboo nay banaye kayi dewanay bhi @};- meray anchal pay umeedon ki qitar utri hai koi khushboo meri delhiz k paar utri hai @};- isi khushboo say kisi yaad k der khultay hain meray pairon say jo liptay to safar khultay hain @};- yahi khushboo jo mujhey ghar say utha layi thi ab kisi tor palat ker nahi janay deti @};- meri delhiz bulati hai mujhey loot aao yahi khushboo mujhey wapis nahi aanay deti @};- ranj or dard main doobi bahar utri hai koi khushboo meri delhiz k paar utri hai

Ye Barishain bhi tum si hain

Ye Barishain bhi tum si hain, Jo baras gai to bahar hai, Jo tehar gayee tu qarar hai, Kabhi aa gai yunhi besabab, Kaabhi cha gai yunhi roz-o-shab, Kabhi shor hai, Kabhi chup si hain, Ye barishain b tum si hain, kabhi boond boond ma gum si hay, Ye barishain b tum si hain

suno achha nahin lagta

suno achha nahin lagta karay jab tazkira koi karay jab tabsira koi tumhari zaat ko khojay tumhari baat ko sochay mujhay achha nahin lagta suno achha nahin lagta tumhari muskurahat per hazaron log martay hon tumhari aik aahat per hazaron dil dharaktay hon kisi ka tum pe youn marna mujhay achha nahin lagta suno achha nahin lagta hawa guzray tumhain chhoo ker na ho ga zabt yeh mujh se karay gustaakhian tum se mujhay achha nahin lagta suno achha nahin lagta k tum ko phool bhi daikhain tumharay paas woh mehkain ya chanda ki guzarish ho k apni roshni bakhshoon rukh-e-janan koi daikhay mujahy achha nahin lagta mujahy achha nahin lagta

Oonchay Oonchay Namoon Ki Takhtiyaan Gira dena

Oonchay Oonchay Namoon Ki Takhtiyaan Gira dena Zulm Kerney Walon Ki Wardiyaan Jala dena Dar Badar Bhatakna kiya Daftaron k Jungle mein Beelchay Utha lena Digriyan Jala dena Maut se Jo Darr Jao Zandagi nahin milti Jung Jeetna chaho Kashtiyaan Jala dena Phir Bahu Jalaney ka Haq Tumhain Puhunchta hai Pehlay Apney Aangan ki Baitiyaan Jala dena

Yoheen besabab na pehra karo koi shaam ghar bhi raha karo

Yoheen besabab na pehra karo koi shaam ghar bhi raha karo woh GHAZAL ke suche ketaab hai use chupkay cupkay pahra karo koi hath bhi na milAyay ga jo galay milo gay tapak se yeh nayay mezaaj ka sahar hai zara faslay se mila karo abhi rah mein kae mor hain koi ayay ga koi jayay ga tumhein jis kese ne bohla diya use bohlanay ko duaa karo mujhe ishtehAr se lagte hai yeh mohabbaton ke kahanian jo kaha nahi woh suna karo jo suna nahi woh kaha karo khabhi husan parda nasee bhi ho zara ashiqana lebaas mein mein jo ban sanwar ke kahien chalo meray sath tum bhi chala karo nahi bayhajaab woh chand sa ke nazar ka koi asar na ho isay itne garme-e-shooq se bare deer tak nahi taka karo

Bay nigah aaNkhoun say

Bay nigah aaNkhoun say dekhtay haiN parchay ko bay khiyaal haathouN say un-bannay say lafzouN par ungliyaaN ghummaatay haiN yaa sawaal naamay ko dekhtay hee jaatay haiN! hur taraf kan-ankhiyouN say bucch buccha kay taktay haiN doosrouN kay purchouN ko rehnumma samajhtay haiN shaayad iss tarah koie, raasta hee mil jaaey! bay nishaaN jawaabouN kaa kuch pata hee chull jaey! mujh ko dekhtay haiN tau youn jawaab copy par, haashiyeh lagatay haiN daaeray banaatay haiN jaisay unn ko purchay kay subb jawaab aatay haiN iss tarah kay manzar maiN Imtehaan gaahouN maiN, dekhtaa hee rehtaa hooN naqal karnay waalouN kay nit naaey tareeqouN say Aap lutf laita thaa, dostouN say kehtaa thaa kiss tarah say jaanay yeh Aaj dil kay aangan maiN ik khiyaal aayaa hay sekRouN sawaalouN saa ik sawaal laayaa hay Waqt kee adaalat maiN zindagi kee soorat maiN yeh jo teray haathouN maiN, aik sawaalnaama hay kiss nay yeh banaayaa hay? Kiss liyeh banaayaa hay? kuch samajh maiN aayaa

Ajj tanhai kisi hamdam deeren ki tarha

Wo dard wo wafa wo muhabbt tmam_shud

Wo dard wo wafa wo muhabbt tmam_shud . Ly dil me tery qurb ki hasrat tmam_shud.. Ye baad main khuly ga k kis kis ka khoon hua, Hr ek bayan khatm, adalat tmam_shud.. Tu ab to dushmani k bhi qabil nhi raha, Uth'ti thi Jo kabhi wo adawat tmam_shud.. Ab rabt ek naya mujhy aawargi se hai, Pabandi-e-khyal ki aadat tmam_shud.. Jaaiz thi ya nhi thi tery haq me thi mgar, Karta tha jo kabhi wo wakalat tmam_shud.. Wo roz roz marny ka qissa hua tmam, Wo roz dil ko cheerti wehshat tmam_shud.. Mohsin main Kunj-e-zeest me chup chaap hun para, Majnu si wo khaslat-o-halat tamam_shud..!

Tu hawa kay hath pe chahatoun ka dia jalanay ki zid na kar

Tu hawa kay hath pe chahatoun ka dia jalanay ki zid na kar Yeh udaas logun ka sheher ha yahan muskuranay ki zid na kar, Main muhabbatoun ka dasa hua, mera gham hai hadd say barha hua Main shikasta ghar ki misal hun meray pas anay ki zid na kar, Main teri ghazal to nahi hun jo, har ik kay lab per saji rahun Main tow aik misra-e-dard hun, mujhay gungunanay ki zid na kar, Abhi laot aa abhi waqt ha abhi jan baki ha jism main Tujhay ilm hai meri jan hai tu, mujhay aazmany ki zid na kar.

Mujhse mat puch ke kiyu Aankh jhuka li maine

Mujhse mat puch ke kiyu Aankh jhuka li maine Teri tasveer thi tujh se hi chupa li maine, Jis pe likha tha ki TU mere muqaddar mein nahi Apne mathey ki wo Tehreer hi mita li maine, Ghere rehti hai mujhko ek Anokhi 'Khu$hboo' 'Teri Yaadon' se har ek saans Saja li maine, Jiske shero'n ko woh sunn ke bohot Roya tha Bas wo ek Gazal sab se chupa li maine.

Is se pehle ke zamane ko khabar ho jaye

Is se pehle ke zamane ko khabar ho jaye Khuda kare ke shab-e-gham ki sahar ho jaye Khula rahe ga ye darwaza tere aane tak Laot kar aana kahiN shaam agar ho jaye Abas hai aarzoo karna bhi raoshni ki yahaN Diya jale to hawaaoN ki nazar ho jaye Jab bhi aati hai teri yaad liye aati hai Raat tanha kabhi aaye to basar ho jaye Tu kabhi chashm-e-tasawwur se unhaiN dekh zara ManziloN pe jinhaiN dar'paish safar ho jaye

Kaanch ki choorhi jesi larhki

Kitni saada Kitni pyari Kaanch ki choorhi jesi larhki College k kamry mein bethi Janay kya kuch soch rahi thi Main bhe Oss k pas hee betha Oss ko ghoor se dekh raha thaa Kiya Qissa hai? Main ne pocha? Oss ki ankhein bheeg gaein Dheemi si awaaz mein boli Dekho?.. ? “Chorhi toot gai”…

Shehr-e-Muhabbat hijr ka mousam,ehed-e-wafa or mein

Shehr-e-Muhabbat hijr ka mousam,ehed-e-wafa or mein Tu to is basti se khush khush chala gaya , or mein …?? Tu jo na ho to jaise sab ko chup lag jati hai Apas mein kya batein kertey raat, diya or mein … Sair-e-chhaman adat thi pehley ab majboori hai Teri talash mein chal pertey hein bad-e-saba or mein Jisko dekho teri hava mein pagal phirta hai Werna hum mashrab to nahi they khalq-e-khuda or mein Aik to wo humraaz mera hai phir tera maddah Bas tera hi ziker kia kertey hein Zia or mein Aik zamaney bad ‘Faraz’ ye shair kahey meine Ik muddat se miley nahi hein yaar mera or mein

Suna Tha Hum Ne Logon Se

Suna Tha Hum Ne Logon Se Mohabbat Cheez Aesi Hai Chhupaye Chhup Nahi Sakti Yeh Aankhon Mein Chamakti Hai Yeh Chehron Pe Damakti Hai Yeh Lehjon Mein Jhalakti Hai Dilon Tak Ko Rulati Hai Magar Yeh Sab Agar Sach Hai Toa Phir Hum Ko Apnay Rab Se Bhala Kaisi Mohabbat Hai Na Aankhon Se Jhalakti Hai Na Chehron Per Damakti Hai Na Lehjon Mein Sulagti Hai Na Raaton Ko Rulati Hai Yeh Phir Kaisi Mohabbat Hai Humein Rab Se Bhala Kaisi Mohabbat Hai

Maana teri nazar me, tera pyaar hum nahi

Maana teri nazar me, tera pyaar hum nahi, Kaise kahein ke, tere talabgaar hum nahi, Khud ko jala ke, khaak kar daala, mita daala, Lo ab tumhari raah mein, diwaar hum nahi, Jisko sanwaara humne, tamannao ke khoon se, Gulshan mein us bahaar ke, haqdaar hum nahi, Dhokha diya hai khud ko, mohabbat ke naam se, Kaise kahein ke, tere gunahgaar hum nahi.

Mene haq-e-mohabbat adaa kiya

Mene haq-e-mohabbat adaa kiya na kabhi kisi se gila kiya.... Mujhe ajab iska sila mila mujhe dilse usne bhula diya.... Mohabbaton ki kitaab ka kar aik warq osne jala diya.... Wo jo aarzoo ka charagh thaa usay nafraton ne bujha diya.... Mujhe zakhm phir ek naya diya mujhe is MOHABBAT ne kya diya.... Wo jo kehte thy tum khush raho woh jo kehte thy meri jaan ho tum.... Woh jo kehte thy tum hansa karo mujhe ajj ossi ne RULA diya....

Kabhi mom bn k pighal gya

Kabhi mom bn k pighal gya kabhi girty girty sambhal gya Usy rokti b to kis trha k wo shakhs itna ajeeb tha kabi tarap utha meri aah se kabhi ask se na pighal saka sar-e-Rah mila wo ager kabhi to nazar chura k guzar gya wo utar gya meri ankh se mere dil se kyun na utar ska wo chala gya jahan chor k main wha se phir na palat ski wo to smbl gya muje chor k me bikhar k phir na simat saki

Ye qasoor mera he k yaqeen kia he

Ye qasoor mera he k yaqeen kia he dill teri hi khater rakh chor diya he Ye qasoor mera he k yaqeen kia he dill teri hi khater rakh chor diya he tu hi sub se qareeb he mere tu hi mera naseeb he ab ye mesoos kia he Ye qasoor mera he k yaqeen kia he dill teri hi khater rakh chor diya he Ik tu hi he dolat meri hasel to mera kitni he mohabat tuj se behisaab wafa hasraton se barh kr apni chaha tuje hmesha Ye qasoor mera he k yaqeen kia he dill teri hi khater rakh chor diya he tu hi sub se qareeb he mere tu hi mera naseeb he ab ye mesoos kia he koi dard rha na dill me na koi khala har khuahish pori hoi he tujhe paa jo liya dor muj se ho na kbhi na karna ye ik ehsaan Ye qasoor mera he k yaqeen kia he dill teri hi khater rakh chor diya he tu hi sub se qareeb he mere tu hi mera naseeb he ab ye mesoos kia he

Azaab Yeh Bhi Kisi Aur Par Nahi Aaya

Azaab Yeh Bhi Kisi Aur Par Nahi Aaya, Ke Ek Umar Chale Aur Ghar Nahi Aaya ... ! Us Ek Khaab Ki Hasrat Mein Jal Bujhi Aankhen, Wo Ek Khaab Ke Ab Tak Nazer Nahi Aaya ... !! Karen To Kis Se Karen Naarasaiyon Ka Gila, Safar Tamaam Huaa Hum-Safar Nahi Aaya ... !!! Dilon Ki Bat Badan Ki Zabaan Se Kah Dete, Ye Chaahte The Magar Dil Idhar Nahi Aaya ... !!!! Ajib Hi Tha Mere Daur-E-Gumrahi Ka Rafiq, Bichhaar Gaya To Kabhi Laut Kar Nahi Aaya ... !!!!! Harim-E-Lafz-O-Ma’aani Se Nisbaten Bhi Rahin, Magar Saliqa-E-Arz-E-Hunar Nahi Aaya ... !!!!!!

Hamare Darmiyan Aisa Koi Rishta Nahin Tha

Hamare Darmiyan Aisa Koi Rishta Nahin Tha Tere Shanon Pe Koi Chat Nahin Thi Mere Zimme Koi Angan Nahin Tha Koi Wada Teri Zanjir-E-Pa Banane Nahin Paya Kisi Iqrar Ne Meri Kalai Ko Nahin Thama Hawa-E-Dasht Ki Manind Tu Azad Tha Raste Teri Marzi K Tabe The Mujhe Bhi Apni Tanhai Pe Dekha Jaye To Pura Tasarruf Tha Magar Jab Aj Tu Ne Rasta Badla To Kuch Aisa Laga Mujh Ko K Jaise Tu Ne Mujh Se Bewafai Ki

Harf E Taaza Naii Khushboo Mein Likha Chahta Hai

Harf E Taaza Naii Khushboo Mein Likha Chahta Hai Baab Ik Aur Mohabbat Ka Khula Chahta Hai Aik Lamhay Ki Tawajoo Nahi Hasil Uss Ki Aur Yeh Dil Keh Ussay Hud Say Siwa Chahta Hai Ik Hijaab Teh E Iqrar Hai Ma'nay Manay Warna Gul Ko Maloom Hai Kaya Dast E Saba Chahta Hai Rait He Rait Hai Iss Dil Mein Musafir Mairay Aur Yeah Sehra Taira Naqash E Qaf E Pa Chahta Hai Yehe Khamooshi Kai Rung Mein Zahir Ho Gi Aur Kuch Roz Keh Woh Shokh Khula Chahta Hai Raat Ko Maan Liya Dil Nay Muqadar Laykin Raat Kay Haath Pay Aab Koi Diya Chahta Hai Tairay Paymanay Mein Gardish Nahi Baqi Saqi Aur Tairi Bezam Say Aab Koi Utha Chahta Hai

Tumhin The Badle Hue Ya Meri Nigahen Thin

Tumhin The Badle Hue Ya Meri Nigahen Thin Tumhari Nazron Se Lagta Tha Jaise Meri Bajaye Tumhare Ghar Main Koi Aur Shakhs Aya Hai Tumhare Ohad Ki Denen Tumhen Mubarak So Tum Ne Mera Swagat Usi Tarah Se Kiya Jo Afsaran-E-Hukumat K Aitaqad Main Hai Takallufan Mere Nazdik A K Baith Gaye Phir Ehtamam Se Mausam Ka Zikr Cher Diya Kuch Us K Bad Siyasat Ki Bat Bhi Nikli Adab Par Bhi Koi Do Char Tabsare Faramaye Magar Na Tum Ne Hamesha Ki Tarah Ye Pucha Kya Waqt Kaisa Guzarta Hai Tera Jan-E-Hayat Pahar Din Ki Aziyat Main Kitni Shiddat Hai Ujar Rat Ki Tanhai Kya Qayamat Hai Shabon Ki Sust Rawi Ka Tujhe Bhi Shikwa Hai Gam-E-Firaq K Qisse Nishat-E-Wasl Ka Zikr Rawayatan Hi Sahi Koi Bat To Karte

Theher Jaye, Magar Raat Katay

Theher Jaye, Magar Raat Katay Koi Soorat Ho Ke Barsaat Katay Khushbuuain Mujhko Qalam Karti Gayin Shaakh Dar Shaakh Mere Haath Katay Mouj-e-Gul Hai Ke Talwaar Koi Darmiaan Se Hee Manajaat Katay Harf Kiun Apne Ganwayein Jaa Kar Baat Se Phele Jahan Baat Katay Chaand ! Aa Mil Ke Manayein Ye Shab Aaj Ki Raat Tere Saath Katay Pooray Insaanon Mein Ghus Aayein Hain Sar Katay, Jism Katay, Zaat Katay

Chehra Mera Tha Nigahen Us Ki

Chehra Mera Tha Nigahen Us Ki Khamushi Main Bhi Wo Baten Us Ki Mere Chehre Pe Gazal Likhti Gain Sher Kahti Hui Ankhen Us Ki Shokh Lamhon Ka Pata Dene Lagin Tez Hoti Hui Sansen Us Ki Aise Mausam Bhi Guzare Ham Ne Subhen Jab Apni Thin Shamain Us Ki Dhyan Main Us K Ye Alam Tha Kabhi Ankh Mahtab Ki Yaden Us Ki Faisala Mauj-E-Hawa Ne Likkha Andhiyan Meri Baharen Us Ki Nind Is Soch Se Tuti Aksar Kis Tarah Katati Hain Raten Us Ki Dur Rah Kar Bhi Sada Rahti Hai Mujh Ko Thame Hue Bahen Us Ki

Tujhe Mujh Se, Mujh Ko Tujh Se, Jo Bohot Hi Pyaar Hota

Tujhe Mujh Se, Mujh Ko Tujh Se, Jo Bohot Hi Pyaar Hota Na Tujhe Qaraar Hota, Na Mujhe Qaraar Hota Tera Har Marz Ulajhta, Meri Jaan-E-Na’tawan Se Jo Tujhe Zukaam Hota To Mujhe Bukhaar Hota Jo Mai Tujh Ko Yaad Karta, Tujhe Cheenkna Bhi Parta Mere Sath Bhi Yaqeenan Yahi Baar Baar Hota Kisi Chawk Mai Lagate Koi Chooriyun Ka Khokhaa Tere Shehr Mai Bhi Apna, Koi Kaarobaar Hota Gham-O-Ranj Aashiqaana, Nahi Calculatoraana Usse Mai Shumaar Karta, Jo Na Be-Shumaar Hota Wahan Zair-E-Behs Aate, Khad-O-Khal-O-Khuye Khoobaan

Mard Honi Chahiye, Khatoon Hona Chahiye

Mard Honi Chahiye, Khatoon Hona Chahiye Ab Grammer Ka Yehi Kanoon Hona Chahiye Nursery Ka Daakhla Bhi Ab Sar’sari Mat Janiye Aap Ke Bache Ko Aflaatoon Hona Chahiye Raat Ko Bache Parhayi Ki Aziyat Se Bache In Ko TV Ka Bohat Mamnoon Hona Chahiye Doston English Zaroori Hai Hamare Wastey Fail Honey Ko Bhi Koi Mazmoon Hona Chahiye Sirf Mehnat Kya Hai Anwar Kamyaabi Ke Liye Koi Ooper Se Bhi Telephone Hona Chahiye

Rat Ai Hai Balaon Se Rihai Degi

Rat Ai Hai Balaon Se Rihai Degi Ab Na Divar Na Zanjir Dikhai Degi Vaqt Guzra Hai Par Mausam Nahin Badala Yaro Aisi Gardish Hai Zamin Khud Bhi Duhai Degi Ye Dhundalaka Sa Jo Hai Us Ko Ganimat Jano Dekhna Phir Koi Surat Na Sujhai Degi Dil Jo Tutega To Ik Tarfa Tamasha Hoga Kitne Ainon Main Ye Shaql Dikhai Degi Sath Ke Ghar Main Bara Shor Barpa Hai ‘Anwar’ Koi Ayega To Dastak Na Sunai Degi

Ye Fakhar To Hasil Hy K Bury Hain K Bhaly Hain

Ye Fakhar To Hasil Hy K Bury Hain K Bhaly Hain Do Char Qadam Ham Bhi Tere Sath Chaly Hain Jalna To Chiraghoon Ka Muqad'dar Hy Azal Sey Ye Dill K Kanwal Hain K Bujhy Hain Na Jaly Hain They Kitny Sitary K Sar E Shaam Hi Dobey Hangam E Seher Kitny Hikhurdheed Dhaly Hain Jo Jheyl Gay Hans K Kari Dhoop K Tewar Taroon Ki Khunk Chaaon Main Wo Log Jaly Hain Aik Shama Bujhai To Kai Or Jala Liin Ham Gardidsh E Doran Sey Bari Chaal Chalay Hain

Ham K Minatt'kush-e-Sayyad Nhi Honey Ke

Ham K Minatt'kush-e-Sayyad Nhi Honey Ke Woh Jo Chaahey Bhi Tou Aazaad Nhi Honey Ke.. Dekh Aa Ker Kabhi Unn Ko, Jo tere Haatho'n!! Aesay Ujrrey Hein Ke AAbaad Nahi Honey Ke.. Wasf'e Mey Orr Sifat'e Yaar K MazmoOn Ke Siwaa Naaseh!! terey Sukhan Yaad Nhi Honey Ke.. Yaar'e Bd'Aehad Ka Kitna Barra Aehsaan Hy Ke Hum Ab Kisi K Liye Bhi BrBaad Nahi Honey Ke.. Uss Jafa Khuu Ko DUAA Do K Gar Woh Na Raha!! Phir Kisi Se Sitam EeJaad Nahi Honey Ke.. Aaj Phir Jashan Manaya Gaya Aazadi Ka Kal GharOn Pr Kai AfraaD Nhi Honey Ke.. Itney AaaraM TaLab Ho Tou MohaBBat Mein FARAZ!! MEER' Ban JaaO Ge, FARHAAD Nahi Honey Ke..