Skip to main content

Azaab Yeh Bhi Kisi Aur Par Nahi Aaya

Azaab Yeh Bhi Kisi Aur Par Nahi Aaya,
Ke Ek Umar Chale Aur Ghar Nahi Aaya ... !

Us Ek Khaab Ki Hasrat Mein Jal Bujhi Aankhen,
Wo Ek Khaab Ke Ab Tak Nazer Nahi Aaya ... !!

Karen To Kis Se Karen Naarasaiyon Ka Gila,
Safar Tamaam Huaa Hum-Safar Nahi Aaya ... !!!

Dilon Ki Bat Badan Ki Zabaan Se Kah Dete,
Ye Chaahte The Magar Dil Idhar Nahi Aaya ... !!!!

Ajib Hi Tha Mere Daur-E-Gumrahi Ka Rafiq,
Bichhaar Gaya To Kabhi Laut Kar Nahi Aaya ... !!!!!

Harim-E-Lafz-O-Ma’aani Se Nisbaten Bhi Rahin,
Magar Saliqa-E-Arz-E-Hunar Nahi Aaya ... !!!!!!

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother