Skip to main content

dard ho dil main to dawa keejay

dard ho dil main to dawa keejay
dil hi jab dard ho to kiya keejay

hum ko faryaad karni aati hai
aap suntay nahi to kiya keejay

in butoon ko khuda say kiya matlab
tauba tauba , khuda khuda , keejay

ranj uthanay say bhi khushi ho gi
pahlay dil dard aashna keejay

arz -e- shookhi , nishat -e- alam hai
husn ko aur khud numa keejay

dushmani ho chuki ba qadr wafa
ab haq -e- dosti ada keejay

maut aati nahi kaheen Ghalib
kab tak afsoos zeest ka keejay

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother