Mujhe khud se hain shikayatein, mujhe zindagi se gila nahin
Ke jo chaaha maine woh paa liya, nahin aisa kuch jo mila nahin
Mere aas paas hai roshni, mere raaston main chiragh hain
Yeh tere karam ka hai mojza, meri justuju ka sila nahin
Teri aankh se jo haseen ho, woh nigaah jag main bani nahin
Tere rukh ko jis se misaal doon, koi aisa phool khila nahin
Yeh jo teri zulf ka hai haashiya, yeh jo tera chehra khushnuma
Koi raat aisi siyaah nahin, kisi subah main yeh jilaa nahin
Yeh jo mehr-o-maa ki hain halatein, yeh jo aayinon ki hain heratein
Hain azzal se yeh isi tarah, koi apni jaa se hilaa nahin

Comments
Post a Comment