Skip to main content

Mohabat rog hai jaana

Mohabat rog hai jaana

Ajab sanjog hai jaana
Yeh kese jog hai jaana

Baray borhay batatey thy
kaien qisey sunatey thy
Magar ham mantey kab thy
Yeh sab kuch jantey kab thy
Yeh batein zikar k qabil
Bhala gardantein kab thy

Ana k takhat per baithey
Hamein maloom hi kab tha
Ana k takhat se oopar
Bohat sari bulandi par
Kahein paryoon ke jhurmat main
Tere peiroon ki payal main
Tere chotey se gaoun main
Ghani zulfoon ki chaoun main
Sitare chand sooraj
Walehana raqas kartein hain


Hamein maloom hi kab tha
Terey qadmoon ki aahat per
Gulabi muskurahat par
Tere hontoon ki jumbish par
Ter e sar k isharey par
Sada-e-dilbrana par
Nigah-e-qatlana par
Jafa-e-mehermana par
Ada-e-kafrana par
Chaman ke phool sarey
Is tarha se dhayan detein hain
Zara se wasal ke jhansey main
Apni jaan detein hain


Hamein kab ilm tha jana
Tere pekar se dhul kar
Chandni har so bikharti hai
Shab-e-wisal ki doshizgi
Kaisy nikharti hai
Teri payal ki chan chan
Man main kia ghanti bajati hai
Teri awaz veraney main
Kia jadu jagati hai
Tere nagmein fizaon main
Kis tarha jal tarang bajatein hain
Bohat pukhat iradey
Kis tarha se toot jatein hain


Hamein idraak hi kab tha
Hamein kamil bharosa tha
Hamarey sath kisi surat
Bhi aisa nahi ho ga
Dil -e- nadan kabhi
Qabo se beqabo nahi ho ga
Ye dunyaidaar
Dunyaidaari se sadhu nahi ho ga


MAGAR

Magar phir howa jana
Janey kiyon howa jana
Bara afsos howa jana
Jigar ka khoon howa jana

Tere abroo ki ik jumsash
Se ghayal ho gaye ham bhi
Baray hi mutafit phiray thy
Mayal ho gaye ham bhi
Sakhawat karnay aye thy
Aur sayal ho gaye ham bhi
Barey borhoon ki batoon ke qayal
ho geye ham bhi
k.....

Muhabat roog hai jana
Ajab sanjog hai jana


yeh kesa roog hai jana?

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother