Skip to main content

Juda taare se taara ho gaya na

Juda taare se taara ho gaya na
Bicharne ka ishaara ho gaya na

Sikhaya tha jisey dunya main jeena
Wohi duniya ko pyaara ho gaya na

Kaha bhi tha mohabbat tum na karna
Khasaara hi khasaara ho gaya na

Bohat hi door apni pohanch se
Rafaqat ka kinaara ho gaya na

Jo jaan se pyaara kabhi tha
Wohi dushman hamara ho gaya na

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother