Skip to main content

Bahaar Kya Ab KhizaaN Bhi mUjh kO Galey Lagaye tO Kuch Na Paye

Bahaar Kya Ab KhizaaN Bhi mUjh kO Galey Lagaye tO Kuch Na Paye
maiN Barg e Sehra hoN yoN Bhi mUjh kO Hawa Uraaye tO Kuch Na Paye

maiN PastiyoN mieN Bhi Khush baRa hoN zameeN Key Malboos mieN jaRa hoN
Misaal e Naqsh e Qadam paRa hoN kOii Mitaaye tO Kuch Na Paye


Tamaam RasmieN Hi tOR Di hiaN Keh miaN Ney AankhieN Hi phoR Di hiaN
Zamaana Ab mUjhey kO Aaiina Bhi Mera Dikhaaye tO Kuch Na Paye

Ajeeb Khwaahish hAi Meray Dil mieN Kabhi tO Meri Sada kO Sun Kar
Nazar Jhukaaye tO Khouf Khaye Nazar Uthaye tO Kuch Na Paye

maiN Apni Bey MaayeGi Chupa Kar KuwaR Apney Khuley rakhoN Ga
Keh Meray Ghar mieN Udaas mOusam Ki Shaam Aaye tO Kuch Na Paye

tOo Aashna hAi Na Ajnabi hAi Tera Mera Pyar Sarsarii hAi
Magar Yeh Kya Rasm e dOsti hAi tOo rOoth Jaye tO Kuch Na Paye

Usey Ganwa Key Phir Us kO Paney Ka Shouq Dil mieN tO yoN hAi "Mohsin"
Keh Jaisey Paani Pey Daaira Sa kOii Banaaye tO Kuch Na Paye

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother