Skip to main content

Ahsas dushmani ka Diloon se na mit saka

1.Ahsas dushmani ka Diloon se na mit saka
Dastoor dosti k Raqam bhi hoye to kia


2Mohsin hi samajhte hain ai Ghume dost tujhe
Doshman to kabhi main samaye nahin jate

3.Bharhak uthi hai mere dil main Aag nafrat ki
K har chehra mujhe, Dushman dekhai deta hai

4.Lazim nahi k har war Dushmanon ka hi ho
Tum dosto pe bhi apne kari Nazar rakhna


 5.Mujh ko dushman k eradon pe bhi Piyar aata hai
Teri ulfat ne muhabbat, meri Aadat kardi


6.Kabhi dil k pas dundhun kabhi Khulaa main dekhun
Wo kahan gia Farebi, mujhe jal main phasa ker


7.Main dundhti yadon ki khuli sarkon per
Khushk patton ki tarah, Roz bikhar jata hon


8.Kahin se dundh k la do, Wafa jo mil jaye
Taras gia hai jahan, Rasm dosti k liye


9.Dundhon kahan use jo rag-o-pe main bas gia
Dekhun use kidhar jo, Bazahir nazar mai hai

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother