Skip to main content

Jis ko ghorur aaj hai yaa’n taj wari ka

Jis ko ghorur aaj hai yaa’n taj wari ka
Kal iss peh yahi’n shor hai, phir noha gari ka

Aafaq ki manzil se gia kon salamat?
Asbaab luta raah mein yaa’n har safri ka

Zinda’n mein bhi shorish na gayi apne jano’n ki
Ab sang madawa hai, iss aashfta sari ka

Har zakhm-e-jigar dawr-e-mahshar se hamara
Insaf talab hai teri bedar giri ka

Sad mosam gul hum ko tah baam hi guzre
Muqdur na dekha kabhi be baal-o-pari ka

Le sans bhi ahista keh nazuk hai buhat kaam
Aafaq ki iss kar gah-e-shisha gari ka

uth mir jigar sokhta ki jald khabar le
Kia yaar bharosa hai chiragh sahri ka

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother