Skip to main content

Vo karain bhi to kin alfaaz main Qismat ka gila

1.Vo karain bhi to kin alfaaz main Qismat ka gila
Jin ko teri Nagah lutf ne Barbad kia

2.Dil ka bhi kiya Qasoor tumhari bhi kia Khata
Bargashta mujh se khud mari Qismat hai kia karoon


3.Dundhta phirta hon har Chahre main tere khad-o-khal
Tere kho jane ka itmanan Baqi hai abhi



4.Ghair se kahoon Roshni ki bhik mange ay sahar
Khoon-e Dil se hi Chiragh apna Jalana chaiye


 5.Khud apni umar Ganwaker, jise banaya tha
Makan vo jal gia thori si Roshni k liye


6.Yadoon ki Aag thi k Khiyaloon ki Chandni
Shab bhar mere Makan main ik Roshni rahi


7.Zulf ka Badal, badan ki Rashni, Aakhon ki Sham
Is Zameen per Aasman phila rahe mere samne

8.Jo Roshni mein Khare hain vo jante hi nahin
Chale hawa to Chiragoon ki Zindagi kia hai


9.Mujh ko gahri soch ki Tareekyoun mein Chor kr
Teri Aankhoon ne Sahar ki Roshni bhi cheen li

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother