Skip to main content

Kal Chaudhvin Ki Raat Thi Shab Bhar Raha Charcha Tera

Ibn-E-Insha



Kal Chaudhvin Ki Raat Thi Shab Bhar Raha Charcha Tera

Kuch Ne Kaha Ye Chaand Hai Kuch Ne Kaha Chehra Tera



Ham Bhi Wahin Maujood The Hamse Bhi Sab Poocha Kiye

Ham Hans Diye Ham Chupp Rahe Manzoor Tha Parda Tera



Is Sheher Mein Kis Se Milein Hamse Na Chooti Mehfilein

Har Shaqs Tera Naam Le, Har Shaqs Deewaana Tera



Tu Bewafa, Tu Meherbaan, Ham Aur Tujhse Badgumaan

Hamne To Poocha Tha Zara, Yeh Wasf Kyon Thehera Tera



Kooche Ko Tere Chhodkar Jogi Na Ban Jaayein Magar

Jangal Tere, Parbat Tere, Basti Teri, Sehera Tera



Ham Par Yeh Sakhti Ki Nazar, Ham Hain Faqeer-E-Rehguzar

Rasta Kabhi Roka Tera, Daaman Kabhi Thaama Tera



Haan Haan Teri Soorat Hansi Lekin To Aisa Bhi Nahin

Us Shaqs Ke Ash’aar Se Shuhra Ho Kya Kya Tera



Badard, Sun’ni Ho To Chal, Kehta Hai Kya Achhi Ghazal

Aashiq Tera, Ruswa Tera, Shaayar Tera, ‘Insha’ Tera

Comments

Popular posts from this blog

To my dear mother